kuchh mauj-e-hawa pechaan ai meer nazar aayi | कुछ मौज-ए-हवा पेचाँ ऐ 'मीर' नज़र आई

  - Meer Taqi Meer

kuchh mauj-e-hawa pechaan ai meer nazar aayi
shaayad ki bahaar aayi zanjeer nazar aayi

dilli ke na the kooche auraq-e-musavvar the
jo shakl nazar aayi tasveer nazar aayi

maghroor bahut the ham aansu ki saraayat par
so subh ke hone ko taaseer nazar aayi

gul-baar kare haiga asbaab-e-safar shaayad
gunche ki tarah bulbul dil-geer nazar aayi

us ki to dil-aazaari be-hech hi thi yaaro
kuchh tum ko hamaari bhi taqseer nazar aayi

कुछ मौज-ए-हवा पेचाँ ऐ 'मीर' नज़र आई
शायद कि बहार आई ज़ंजीर नज़र आई

दिल्ली के न थे कूचे औराक़-ए-मुसव्वर थे
जो शक्ल नज़र आई तस्वीर नज़र आई

मग़रूर बहुत थे हम आँसू की सरायत पर
सो सुब्ह के होने को तासीर नज़र आई

गुल-बार करे हैगा असबाब-ए-सफ़र शायद
ग़ुंचे की तरह बुलबुल दिल-गीर नज़र आई

उस की तो दिल-आज़ारी बे-हेच ही थी यारो
कुछ तुम को हमारी भी तक़्सीर नज़र आई

  - Meer Taqi Meer

Delhi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Delhi Shayari Shayari