jins-e-giraan ko tujh se jo log chahte hain
ve rog apne jee ko naahak basaahate hain
us may-kade mein ham bhi muddat se hain v-lekin
khamyaza kheenchte hain har dam jamaahate hain
naamoose dosti se gardan bandhi hai apni
jeete hain jab talak ham tab tak nibahte hain
sahal is qadar nahin hai mushkil-pasandi meri
jo tujh ko dekhte hain mujh ko saraahate hain
ve din gaye ki raatein naalon se kaatte the
be-dol meer'-saahib ab kuchh karaahte hain
जिंस-ए-गिराँ को तुझ से जो लोग चाहते हैं
वे रोग अपने जी को नाहक़ बसाहते हैं
उस मय-कदे में हम भी मुद्दत से हैं व-लेकिन
ख़म्याज़ा खींचते हैं हर दम जमाहते हैं
नामूस दोस्ती से गर्दन बंधी है अपनी
जीते हैं जब तलक हम तब तक निबाहते हैं
सहल इस क़दर नहीं है मुश्किल-पसंदी मेरी
जो तुझ को देखते हैं मुझ को सराहते हैं
वे दिन गए कि रातें नालों से काटते थे
बे-डोल 'मीर'-साहिब अब कुछ कराहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Bimar Shayari Shayari