garche kab dekhte ho par dekho | गरचे कब देखते हो पर देखो

  - Meer Taqi Meer

garche kab dekhte ho par dekho
aarzoo hai ki tum idhar dekho

ishq kya kya hamein dikhaata hai
aah tum bhi to ik nazar dekho

yun arq jalva-gar hai us munh par
jis tarah os phool par dekho

har kharaash-e-jabeen jaraahat hai
naakhun-e-shauq ka hunar dekho

thi hamein aarzoo lab-e-khandaan
so evaz us ke chashm-e-tar dekho

rang-rafta bhi dil ko kheeche hai
ek shab aur yaa sehar dekho

dil hua hai taraf mohabbat ka
khoon ke qatre ka jigar dekho

pahunchen hain ham qareeb marne ke
ya'ni jaate hain door agar dekho

lutf mujh mein bhi hain hazaaron meer
deedaani hoon jo soch kar dekho

गरचे कब देखते हो पर देखो
आरज़ू है कि तुम इधर देखो

इश्क़ क्या क्या हमें दिखाता है
आह तुम भी तो इक नज़र देखो

यूँ अरक़ जल्वा-गर है उस मुँह पर
जिस तरह ओस फूल पर देखो

हर ख़राश-ए-जबीं जराहत है
नाख़ुन-ए-शौक़ का हुनर देखो

थी हमें आरज़ू लब-ए-ख़ंदाँ
सो एवज़ उस के चश्म-ए-तर देखो

रंग-रफ़्ता भी दिल को खींचे है
एक शब और याँ सहर देखो

दिल हुआ है तरफ़ मोहब्बत का
ख़ून के क़तरे का जिगर देखो

पहुँचे हैं हम क़रीब मरने के
या'नी जाते हैं दूर अगर देखो

लुत्फ़ मुझ में भी हैं हज़ारों 'मीर'
दीदनी हूँ जो सोच कर देखो

  - Meer Taqi Meer

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari