palkon pe the paara-e-jigar raat | पलकों पे थे पारा-ए-जिगर रात

  - Meer Taqi Meer

palkon pe the paara-e-jigar raat
ham aankhon mein le gaye basar raat

ik din to wafa bhi karte wa'da
guzri hai umeed-waar har raat

mukhde se uthaayein un ne zulfen
jaana bhi na ham gai kidhar raat

tu paas nahin hua to rote
rah rah gai hai pahar pahar raat

kya din the ki khoon tha jigar mein
ro uthte the baith dopahar raat

waan tum to banaate hi rahe zulf
aashiq ki bhi yaa gai guzar raat

saaqi ke jo aane ki khabar thi
guzri hamein saari be-khabar raat

kya soz-e-jigar kahoon main hamdam
aaya jo sukhun zabaan par raat

sohbat ye rahi ki sham-ravi
le shaam se taa-dam-e-sehr raat

khulti hai jab aankh shab ko tujh bin
kattee nahin aati phir nazar raat

din vasl ka yun kata kahe tu
kaatee hai judaai ki magar raat

kal thi shab-e-wasl ik ada par
us ki gaye hote ham tu mar raat

jaage the hamaare bakht-e-khufta
pahuncha tha bahm vo apne ghar raat

karne laga pusht-e-chashm-e-naazuk
sote se utha jo chaunk kar raat

thi subh jo munh ko khol deta
har-chand ki tab thi ik pahar raat

par zulfon mein munh chhapa ke poocha
ab hovegi meer kis qadar raat

पलकों पे थे पारा-ए-जिगर रात
हम आँखों में ले गए बसर रात

इक दिन तो वफ़ा भी करते वा'दा
गुज़री है उमीद-वार हर रात

मुखड़े से उठाईं उन ने ज़ुल्फ़ें
जाना भी न हम गई किधर रात

तू पास नहीं हुआ तो रोते
रह रह गई है पहर पहर रात

क्या दिन थे कि ख़ून था जिगर में
रो उठते थे बैठ दोपहर रात

वाँ तुम तो बनाते ही रहे ज़ुल्फ़
आशिक़ की भी याँ गई गुज़र रात

साक़ी के जो आने की ख़बर थी
गुज़री हमें सारी बे-ख़बर रात

क्या सोज़-ए-जिगर कहूँ मैं हमदम
आया जो सुख़न ज़बान पर रात

सोहबत ये रही कि शम-रवी
ले शाम से ता-दम-ए-सहर रात

खुलती है जब आँख शब को तुझ बिन
कटती नहीं आती फिर नज़र रात

दिन वस्ल का यूँ कटा कहे तू
काटी है जुदाई की मगर रात

कल थी शब-ए-वस्ल इक अदा पर
उस की गए होते हम तू मर रात

जागे थे हमारे बख़्त-ए-ख़ुफ़्ता
पहुँचा था बहम वो अपने घर रात

करने लगा पुश्त-ए-चश्म-ए-नाज़ुक
सोते से उठा जो चौंक कर रात

थी सुब्ह जो मुँह को खोल देता
हर-चंद कि तब थी इक पहर रात

पर ज़ुल्फ़ों में मुँह छपा के पूछा
अब होवेगी 'मीर' किस क़दर रात

  - Meer Taqi Meer

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari