gila nahin hai hamein apni jaan-gudaazi ka
jigar pe zakham hai us ki zabaan-daraazi ka
samand-e-naaz ne us ke jahaan kiya paamaal
wahi hai ab bhi use shauq tark taazi ka
sitam hain qahar hain launde sharaab-khaane ke
utaar lete hain amaama har namaazi ka
ult-palat meri aah-e-sehr ki kya hai kam
agar khayal tumhein hove neza-baazi ka
batao ham se koi aan tum se kya bigdi
nahin hai tum ko saleeqa zamaana-saazi ka
khuda ko kaam to saumpe hain main ne sab lekin
rahe hai khauf mujhe waan ki be-niyaazi ka
chalo ho raah-e-muaafiq kahe mukhalif ke
tariq chhod diya tum ne dil-nawaazi ka
kaso ki baat ne aage mere na paaya rang
dilon mein naqsh hai meri sukhan-taraazi ka
basaan-e-khaak ho paamaal raah-e-khalk ai meer
rakhe hai dil mein agar qasd sarfaraazi ka
गिला नहीं है हमें अपनी जाँ-गुदाज़ी का
जिगर पे ज़ख़्म है उस की ज़बाँ-दराज़ी का
समंद-ए-नाज़ ने उस के जहाँ किया पामाल
वही है अब भी उसे शौक़ तर्क ताज़ी का
सितम हैं क़हर हैं लौंडे शराब-ख़ाने के
उतार लेते हैं अमामा हर नमाज़ी का
उलट-पलट मिरी आह-ए-सहर की क्या है कम
अगर ख़याल तुम्हें होवे नेज़ा-बाज़ी का
बताओ हम से कोई आन तुम से क्या बिगड़ी
नहीं है तुम को सलीक़ा ज़माना-साज़ी का
ख़ुदा को काम तो सौंपे हैं मैं ने सब लेकिन
रहे है ख़ौफ़ मुझे वाँ की बे-नियाज़ी का
चलो हो राह-ए-मुआफ़िक़ कहे मुख़ालिफ़ के
तरीक़ छोड़ दिया तुम ने दिल-नवाज़ी का
कसो की बात ने आगे मिरे न पाया रंग
दिलों में नक़्श है मेरी सुख़न-तराज़ी का
बसान-ए-ख़ाक हो पामाल राह-ए-ख़ल्क़ ऐ 'मीर'
रखे है दिल में अगर क़स्द सरफ़राज़ी का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Duniya Shayari Shayari