garm hain shor se tujh husn ke bazaar kai | गर्म हैं शोर से तुझ हुस्न के बाज़ार कई

  - Meer Taqi Meer

garm hain shor se tujh husn ke bazaar kai
rashk se jalte hain yusuf ke khareedaar kai

kab talak daagh dikhaavegi aseeri mujh ko
mar gaye saath ke mere to girftaar kai

ve hi chaalaakiyaan haathon ki hain jo awwal theen
ab garebaan mein mere rah gaye hain taar kai

khauf-e-tanhaai nahin kar tu jahaan se to safar
har jagah raah-e-adam mein milenge yaar kai

iztiraab-o-qilq-o-zof mein kis taur jiyooun
jaan waahid hai meri aur hain aazaar kai

kyun na hoon khasta bhala main ki sitam ke tere
teer hain paar kai vaar hain sofaar kai

apne kooche mein niklayo to sambhaale daaman
yaadgaar-e-miza-e-'meer hain waan khaar kai

गर्म हैं शोर से तुझ हुस्न के बाज़ार कई
रश्क से जलते हैं यूसुफ़ के ख़रीदार कई

कब तलक दाग़ दिखावेगी असीरी मुझ को
मर गए साथ के मेरे तो गिरफ़्तार कई

वे ही चालाकियाँ हाथों की हैं जो अव्वल थीं
अब गरेबाँ में मिरे रह गए हैं तार कई

ख़ौफ़-ए-तन्हाई नहीं कर तू जहाँ से तो सफ़र
हर जगह राह-ए-अदम में मिलेंगे यार कई

इज़तिराब-ओ-क़िल्क़-ओ-ज़ोफ़ में किस तौर जियूँ
जान वाहिद है मिरी और हैं आज़ार कई

क्यूँ न हूँ ख़स्ता भला मैं कि सितम के तेरे
तीर हैं पार कई वार हैं सोफ़ार कई

अपने कूचे में निकलयो तो सँभाले दामन
यादगार-ए-मिज़ा-ए-'मीर' हैं वाँ ख़ार कई

  - Meer Taqi Meer

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari