kya haqeeqat kahoon ki kya hai ishq
haq-shanaason ke haan khuda hai ishq
dil laga ho to jee jahaan se utha
maut ka naam pyaar ka hai ishq
aur tadbeer ko nahin kuchh dakhl
ishq ke dard ki dava hai ishq
kya dubaaya muheet mein gham ke
ham ne jaana tha aashna hai ishq
ishq se ja nahin koi khaali
dil se le arsh tak bhara hai ishq
kohkan kya pahaad kaatega
parde mein zor-aazma hai ishq
ishq hai ishq karne waalon ko
kaisa kaisa bahm kiya hai ishq
kaun maqsad ko ishq bin pahuncha
aarzoo ishq muddaa hai ishq
meer marna pade hai khooban par
ishq mat kar ki bad bala hai ishq
क्या हक़ीक़त कहूँ कि क्या है इश्क़
हक़-शनासों के हाँ ख़ुदा है इश्क़
दिल लगा हो तो जी जहाँ से उठा
मौत का नाम प्यार का है इश्क़
और तदबीर को नहीं कुछ दख़्ल
इश्क़ के दर्द की दवा है इश्क़
क्या डुबाया मुहीत में ग़म के
हम ने जाना था आश्ना है इश्क़
इश्क़ से जा नहीं कोई ख़ाली
दिल से ले अर्श तक भरा है इश्क़
कोहकन क्या पहाड़ काटेगा
पर्दे में ज़ोर-आज़मा है इश्क़
इश्क़ है इश्क़ करने वालों को
कैसा कैसा बहम किया है इश्क़
कौन मक़्सद को इश्क़ बिन पहुँचा
आरज़ू इश्क़ मुद्दआ है इश्क़
'मीर' मरना पड़े है ख़ूबाँ पर
इश्क़ मत कर कि बद बला है इश्क़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Qabr Shayari Shayari