ghalib ki ye dil-khasta shab-e-hijr mein mar jaaye | ग़ालिब कि ये दिल-ख़स्ता शब-ए-हिज्र में मर जाए

  - Meer Taqi Meer

ghalib ki ye dil-khasta shab-e-hijr mein mar jaaye
ye raat nahin vo jo kahaani mein guzar jaaye

hai turfah mufttin-nigah us aaina-roo ki
ik pal mein kare saikdon khun aur mukar jaaye

ne but-kada hai manzil-e-maqsood na ka'ba
jo koi talaashi ho tira aah kidhar jaaye

har subh to khurshid tire munh pe chadhe hai
aisa na ho ye saada kahi jee se utar jaaye

yaqoot koi un ko kahe hai koi gul-barg
tuk hont hila tu bhi ki ik baat thehar jaaye

ham taaza shaheedon ko na aa dekhne naazaan
daaman ki tiri zeh kahi lohoo mein na bhar jaaye

girye ko mere dekh tuk ik shehar ke baahar
ik sath hai paani ka jahaan tak ki nazar jaaye

mat baith bahut ishq ke aazurda dilon mein
naala kasoo mazloom ka taaseer na kar jaaye

is varte se takhta jo koi pahunchen kinaare
to meer watan mere bhi shaayad ye khabar jaaye

ग़ालिब कि ये दिल-ख़स्ता शब-ए-हिज्र में मर जाए
ये रात नहीं वो जो कहानी में गुज़र जाए

है तुर्फ़ा मुफ़त्तिन-निगह उस आइना-रू की
इक पल में करे सैंकड़ों ख़ूँ और मुकर जाए

ने बुत-कदा है मंज़िल-ए-मक़्सूद न का'बा
जो कोई तलाशी हो तिरा आह किधर जाए

हर सुब्ह तो ख़ुर्शीद तिरे मुँह पे चढ़े है
ऐसा न हो ये सादा कहीं जी से उतर जाए

याक़ूत कोई उन को कहे है कोई गुल-बर्ग
टुक होंट हिला तू भी कि इक बात ठहर जाए

हम ताज़ा शहीदों को न आ देखने नाज़ाँ
दामन की तिरी ज़ह कहीं लोहू में न भर जाए

गिर्ये को मिरे देख टुक इक शहर के बाहर
इक सत्ह है पानी का जहाँ तक कि नज़र जाए

मत बैठ बहुत इश्क़ के आज़ुर्दा दिलों में
नाला कसू मज़लूम का तासीर न कर जाए

इस वरते से तख़्ता जो कोई पहुँचे किनारे
तो 'मीर' वतन मेरे भी शायद ये ख़बर जाए

  - Meer Taqi Meer

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari