hamaare aage tira jab kisoo ne naam liya
dil-e-sitm-zada ko ham ne thaam thaam liya
qasam jo khaaiye to taala-e-zulekha ki
azeez-e-misr ka bhi sahab ik ghulaam liya
kharab rahte the masjid ke aage may-khaane
nigah-e-mast ne saaqi ki intiqaam liya
vo kaj-ravish na mila raaste mein mujh se kabhi
na seedhi tarah se un ne mera salaam liya
maza dikhaavenge be-rehmi ka tiri sayyaad
gar iztiraab-e-aseeri ne zer-e-daam liya
mere saleeqe se meri nibhi mohabbat mein
tamaam umr main naakaamiyon se kaam liya
agarche gosha-guzin hoon main shaairon mein meer
p mere shor ne roo-e-zameen tamaam liya
हमारे आगे तिरा जब किसू ने नाम लिया
दिल-ए-सितम-ज़दा को हम ने थाम थाम लिया
क़सम जो खाइए तो ताला-ए-ज़ुलेख़ा की
अज़ीज़-ए-मिस्र का भी साहब इक ग़ुलाम लिया
ख़राब रहते थे मस्जिद के आगे मय-ख़ाने
निगाह-ए-मस्त ने साक़ी की इंतिक़ाम लिया
वो कज-रविश न मिला रास्ते में मुझ से कभी
न सीधी तरह से उन ने मिरा सलाम लिया
मज़ा दिखावेंगे बे-रहमी का तिरी सय्याद
गर इज़्तिराब-ए-असीरी ने ज़ेर-ए-दाम लिया
मिरे सलीक़े से मेरी निभी मोहब्बत में
तमाम उम्र मैं नाकामियों से काम लिया
अगरचे गोशा-गुज़ीं हूँ मैं शाइरों में 'मीर'
प मेरे शोर ने रू-ए-ज़मीं तमाम लिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Love Shayari Shayari