kiya main ne ro kar fishaar-e-garebaan | किया मैं ने रो कर फ़िशार-ए-गरेबाँ

  - Meer Taqi Meer

kiya main ne ro kar fishaar-e-garebaan
rag-e-abr tha taar-taar-e-garebaan

kahi dast-e-chaalaak nakhun na laage
ki seena hai qurb-o-jawar-e-garebaan

nishaan ashk-e-khoonin ke udte chale hain
khizaan ho chali hai bahaar-e-garebaan

junoon teri minnat hai mujh par ki tu ne
na rakha mere sar pe baar-e-garebaan

ziyaarat karoon dil se khasta-jigar ki
kahaan hogi yaarab mazaar-e-garebaan

kahi jaaye ye daur-e-daaman bhi jaldi
ki aakhir hua rozgaar-e-garebaan

phiroon meer uryaan na daaman ka gham ho
na baaki rahe khaar-khaar-e-garebaan

किया मैं ने रो कर फ़िशार-ए-गरेबाँ
रग-ए-अब्र था तार-तार-ए-गरेबाँ

कहीं दस्त-ए-चालाक नाख़ुन न लागे
कि सीना है क़ुर्ब-ओ-जवार-ए-गरेबाँ

निशाँ अश्क-ए-ख़ूनीं के उड़ते चले हैं
ख़िज़ाँ हो चली है बहार-ए-गरेबाँ

जुनूँ तेरी मिन्नत है मुझ पर कि तू ने
न रक्खा मिरे सर पे बार-ए-गरेबाँ

ज़ियारत करूँ दिल से ख़स्ता-जिगर की
कहाँ होगी यारब मज़ार-ए-गरेबाँ

कहीं जाए ये दौर-ए-दामन भी जल्दी
कि आख़िर हुआ रोज़गार-ए-गरेबाँ

फिरूँ 'मीर' उर्यां न दामन का ग़म हो
न बाक़ी रहे ख़ार-ख़ार-ए-गरेबाँ

  - Meer Taqi Meer

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari