ab haal apna us ke hai dil-khwaah | अब हाल अपना उस के है दिल-ख़्वाह

  - Meer Taqi Meer

ab haal apna us ke hai dil-khwaah
kya poochte ho alhamdulillah

mar jaao koi parwa nahin hai
kitna hai maghroor allah allah

peer-e-mugaan se be-e-tiqaadi
astaghfirullah astaghirullah

kahte hain us ke tu munh lagega
ho yun hi yaarab jun hai ye afwaah

hazrat se us ki jaana kahaan hai
ab mar rahega yaa banda dargaah

sab aql khoye hai raah-e-mohabbat
ho khizr dil mein kaisa hi gumraah

mujrim hue ham dil de ke warna
kis ko kaso se hoti nahin chaah

kya kya na reejen tum ne pachaaien
achha rijhaaya ai meherbaan aah

guzre hai dekhen kyunkar hamaari
us bewafa se ne rasm ne raah

thi khwaahish-e-dil rakhna hamaail
gardan mein us ki har gaah-o-be-gaah

us par ki tha vo shah-e-rag se aqrab
hargiz na pahuncha ye dast-e-kotaah

hai maa-siwaa kya jo meer kahiye
aagaah saare us se hain aagaah

jalwe hain us ke shaanen hain us ki
kya roz kya khor kya raat kya maah

zaahir ki baatin awwal ki aakhir
allah allah allah allah

अब हाल अपना उस के है दिल-ख़्वाह
क्या पूछते हो अल्हम्दुलिल्लाह

मर जाओ कोई पर्वा नहीं है
कितना है मग़रूर अल्लाह अल्लाह

पीर-ए-मुग़ाँ से बे-ए-तिक़ादी
असतग़्फ़फ़िरुल्लाह असतग़्फ़िरुल्लाह

कहते हैं उस के तू मुँह लगेगा
हो यूँ ही यारब जूँ है ये अफ़्वाह

हज़रत से उस की जाना कहाँ है
अब मर रहेगा याँ बंदा दरगाह

सब अक़्ल खोए है राह-ए-मोहब्बत
हो ख़िज़्र दिल में कैसा ही गुमराह

मुजरिम हुए हम दिल दे के वर्ना
किस को कसो से होती नहीं चाह

क्या क्या न रीझें तुम ने पचाईं
अच्छा रिझाया ऐ मेहरबाँ आह

गुज़रे है देखें क्यूँकर हमारी
उस बेवफ़ा से ने रस्म ने राह

थी ख़्वाहिश-ए-दिल रखना हमाइल
गर्दन में उस की हर गाह-ओ-बे-गाह

उस पर कि था वो शह-ए-रग से अक़रब
हरगिज़ न पहुँचा ये दस्त-ए-कोताह

है मा-सिवा क्या जो 'मीर' कहिए
आगाह सारे उस से हैं आगाह

जल्वे हैं उस के शानें हैं उस की
क्या रोज़ क्या ख़ोर क्या रात क्या माह

ज़ाहिर कि बातिन अव्वल कि आख़िर
अल्लाह अल्लाह अल्लाह अल्लाह

  - Meer Taqi Meer

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari