fasl-e-khizaan mein sair jo ki hum ne jaa-e-gul | फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ में सैर जो की हम ने जा-ए-गुल - Meer Taqi Meer

fasl-e-khizaan mein sair jo ki hum ne jaa-e-gul
chaani chaman ki khaak na tha naqsh-e-pa-e-gul

allah re andaleeb ki aawaaz-e-dil-kharaash
jee hi nikal gaya jo kaha un ne haaye gul

maqdoor tak sharaab se rakh ankhadiyon mein rang
ye chashmak-e-pyaala hai saaqi hawaa-e-gul

ye dekh seena daagh se rask-e-chaman hai yaa
bulbul sitam hua na jo tu ne bhi khaaye gul

bulbul hazaar jee se khareedaar us ki hai
ai gul-farosh kariyo samajh kar baha-e-gul

nikla hai aisi khaak se kis saada-roo ki ye
qaabil durood bhejne ke hai safa-e-gul

baare sarishk-e-surkh ke daaghoon se raat ko
bistar par apne sote the hum bhi bichhaaye gul

aa andaleeb sulh karein jang ho chuki
le ai zabaan-daraaz tu sab kuch sivaae gul

gulchein samajh ke chuniyo ki gulshan mein meer ke
lakht-e-jigar pade hain nahin barg-ha-e-gul

फ़स्ल-ए-ख़िज़ाँ में सैर जो की हम ने जा-ए-गुल
छानी चमन की ख़ाक न था नक़्श-ए-पा-ए-गुल

अल्लाह रे अंदलीब की आवाज़-ए-दिल-ख़राश
जी ही निकल गया जो कहा उन ने हाए गुल

मक़्दूर तक शराब से रख अँखड़ियों में रंग
ये चश्मक-ए-प्याला है साक़ी हवा-ए-गुल

ये देख सीना दाग़ से रश्क-ए-चमन है याँ
बुलबुल सितम हुआ न जो तू ने भी खाए गुल

बुलबुल हज़ार जी से ख़रीदार उस की है
ऐ गुल-फ़रोश करियो समझ कर बहा-ए-गुल

निकला है ऐसी ख़ाक से किस सादा-रू की ये
क़ाबिल दुरूद भेजने के है सफ़ा-ए-गुल

बारे सरिश्क-ए-सुर्ख़ के दाग़ों से रात को
बिस्तर पर अपने सोते थे हम भी बिछाए गुल

आ अंदलीब सुल्ह करें जंग हो चुकी
ले ऐ ज़बाँ-दराज़ तू सब कुछ सिवाए गुल

गुलचीं समझ के चुनियो कि गुलशन में 'मीर' के
लख़्त-ए-जिगर पड़े हैं नहीं बर्ग-हा-ए-गुल

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari