hoti hai garche kehne se yaaro paraai baat | होती है गरचे कहने से यारो पराई बात - Meer Taqi Meer

hoti hai garche kehne se yaaro paraai baat
par hum se to thambe na kabhu munh par aayi baat

jaane na tujh ko jo ye tasannuo tu us se kar
tis par bhi to chhupi nahin rahti banaai baat

lag kar tadarau rah gaye deewaar-e-baagh se
raftaar ki jo teri saba ne chalaai baat

kahte the us se miliye to kya kya na kahiye lek
vo aa gaya to saamne us ke na aayi baat

ab to hue hain hum bhi tire dhab se aashna
waan tu ne kuch kaha ki idhar hum ne paai baat

bulbul ke bolne mein sab andaaz hain mere
poshida kab rahe hai kisoo ki udaai baat

bharka tha raat dekh ke vo sho'la-khoo mujhe
kuch roo-siyah raqeeb ne shaayad lagaaee baat

aalam siyaah-khaana hai kis ka ki roz-o-shab
ye shor hai ki deti nahin kuch sunaai baat

ik din kaha tha ye ki khamoshi mein hai vaqaar
so mujh se hi sukhun nahin main jo bataai baat

ab mujh zaif-o-zaar ko mat kuch kaha karo
jaati nahin hai mujh se kisoo ki uthaai baat

khat likhte likhte meer ne daftar kiye ravaan
ifraat-e-ishtiyaq ne aakhir badhaai baat

होती है गरचे कहने से यारो पराई बात
पर हम से तो थंबे न कभू मुँह पर आई बात

जाने न तुझ को जो ये तसन्नो तू उस से कर
तिस पर भी तो छुपी नहीं रहती बनाई बात

लग कर तदरौ रह गए दीवार-ए-बाग़ से
रफ़्तार की जो तेरी सबा ने चलाई बात

कहते थे उस से मिलिए तो क्या क्या न कहिए लेक
वो आ गया तो सामने उस के न आई बात

अब तो हुए हैं हम भी तिरे ढब से आश्ना
वाँ तू ने कुछ कहा कि इधर हम ने पाई बात

बुलबुल के बोलने में सब अंदाज़ हैं मिरे
पोशीदा कब रहे है किसू की उड़ाई बात

भड़का था रात देख के वो शो'ला-ख़ू मुझे
कुछ रू-सियह रक़ीब ने शायद लगाई बात

आलम सियाह-ख़ाना है किस का कि रोज़-ओ-शब
ये शोर है कि देती नहीं कुछ सुनाई बात

इक दिन कहा था ये कि ख़मोशी में है वक़ार
सो मुझ से ही सुख़न नहीं मैं जो बताई बात

अब मुझ ज़ईफ़-ओ-ज़ार को मत कुछ कहा करो
जाती नहीं है मुझ से किसू की उठाई बात

ख़त लिखते लिखते 'मीर' ने दफ़्तर किए रवाँ
इफ़रात-ए-इश्तियाक़ ने आख़िर बढ़ाई बात

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari