yaa sarkashaan jo saahb-e-taaj o lava hue | याँ सरकशाँ जो साहब-ए-ताज ओ लवा हुए

  - Meer Taqi Meer

yaa sarkashaan jo saahb-e-taaj o lava hue
paamaal ho gaye to na jaana ki kya hue

dekhi na ek chashmak-e-gul bhi chaman mein aah
ham aakhir bahaar-e-qafs se raha hue

pachtayoge bahut jo gaye ham jahaan se
aadam ki qadar hoti hai zaahir juda hue

tujh bin dimaagh sohbat-e-ahl-e-chaman na tha
gul vaa hue hazaar wale ham na vaa hue

sar de ke meer ham ne faraaghat ki ishq mein
zimme hamaare bojh tha baare ada hue

याँ सरकशाँ जो साहब-ए-ताज ओ लवा हुए
पामाल हो गए तो न जाना कि क्या हुए

देखी न एक चश्मक-ए-गुल भी चमन में आह
हम आख़िर बहार-ए-क़फ़स से रहा हुए

पछताओगे बहुत जो गए हम जहाँ से
आदम की क़दर होती है ज़ाहिर जुदा हुए

तुझ बिन दिमाग़ सोहबत-ए-अहल-ए-चमन न था
गुल वा हुए हज़ार वले हम न वा हुए

सर दे के 'मीर' हम ने फ़राग़त की इश्क़ में
ज़िम्मे हमारे बोझ था बारे अदा हुए

  - Meer Taqi Meer

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari