sahr-e-gah-e-eid mein daur-e-suboo tha | सहर-ए-गह-ए-ईद में दौर-ए-सुबू था

  - Meer Taqi Meer

sahr-e-gah-e-eid mein daur-e-suboo tha
par apne jaam mein tujh bin lahu tha

galat tha aap se ghaafil guzarna
na samjhe ham ki is qaaleb mein tu tha

chaman ki waz'a ne ham ko kya daagh
ki har guncha-dil par aarzoo tha

gul-o-aaina kya khursheed-o-mah kya
jidhar dekha tidhar tera hi roo tha

karoge yaad baatein to kahoge
ki koi rafta-e-bisyaar-go tha

jahaan par hai fasaane se hamaare
dimaagh-e-ishq ham ko bhi kabhu tha

magar deewaana tha gul bhi kaso ka
ki pairaahan mein so jaaga rafu tha

kahi kya baal tere khul gaye the
ki jhonka baav ka kuchh mushkboo tha

na dekha meer aawaara ko lekin
ghubaar ik na-tawan sa koo-b-koo tha

सहर-ए-गह-ए-ईद में दौर-ए-सुबू था
पर अपने जाम में तुझ बिन लहू था

ग़लत था आप से ग़ाफ़िल गुज़रना
न समझे हम कि इस क़ालिब में तू था

चमन की वज़्अ ने हम को क्या दाग़
कि हर ग़ुंचा-दिल पर आरज़ू था

गुल-ओ-आईना क्या ख़ुरशीद-ओ-मह क्या
जिधर देखा तिधर तेरा ही रू था

करोगे याद बातें तो कहोगे
कि कोई रफ़्ता-ए-बिसयार-गो था

जहाँ पर है फ़साने से हमारे
दिमाग़-ए-इश्क़ हम को भी कभू था

मगर दीवाना था गुल भी कसो का
कि पैराहन में सो जागा रफ़ू था

कहीं क्या बाल तेरे खुल गए थे
कि झोंका बाव का कुछ मुश्कबू था

न देखा 'मीर' आवारा को लेकिन
ग़ुबार इक ना-तवाँ सा कू-ब-कू था

  - Meer Taqi Meer

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari