dil mein bhara z-bas-ki khayaal-e-sharaab tha | दिल में भरा ज़-बस-कि ख़याल-ए-शराब था

  - Meer Taqi Meer

dil mein bhara z-bas-ki khayaal-e-sharaab tha
maanind aaine ke mere ghar mein aab tha

maujen kare hai bahr-e-jahaan mein abhi to tu
jaanega ba'd-e-marg ki aalam habaab tha

ugte the dast-e-bulbul-o-daamaan gul bahm
sahan-e-chaman namoona-e-yaum-ul-hisaab tha

tuk dekh aankhen khol ke us dam ki hasratein
jis dam ye soojegee ki ye aalam bhi khwaab tha

dil jo na tha to raat z-khud-rafgi mein meer
gah intizaar o gaah mujhe iztiraab tha

दिल में भरा ज़-बस-कि ख़याल-ए-शराब था
मानिंद आइने के मिरे घर में आब था

मौजें करे है बहर-ए-जहाँ में अभी तो तू
जानेगा बा'द-ए-मर्ग कि आलम हबाब था

उगते थे दस्त-ए-बुलबुल-ओ-दामान गुल बहम
सहन-ए-चमन नमूना-ए-यौम-उल-हिसाब था

टुक देख आँखें खोल के उस दम की हसरतें
जिस दम ये सूझेगी कि ये आलम भी ख़्वाब था

दिल जो न था तो रात ज़-ख़ुद-रफ़तगी में 'मीर'
गह इंतिज़ार ओ गाह मुझे इज़्तिराब था

  - Meer Taqi Meer

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari