aarzooen hazaar rakhte hain
to bhi ham dil ko maar rakhte hain
barq kam-hausla hai ham bhi to
dil ko be-qaraar rakhte hain
gair hi mureed-e-inaayat hai
ham bhi to tum se pyaar rakhte hain
na nigaah ne payaam ne vaada
naam ko ham bhi yaar rakhte hain
ham se khush-zamzama kahaan yun to
lab o lahja hazaar rakhte hain
chotte dil ke hain butaan mashhoor
bas yahi e'tibaar rakhte hain
phir bhi karte hain meer sahab ishq
hain jawaan ikhtiyaar rakhte hain
आरज़ूएँ हज़ार रखते हैं
तो भी हम दिल को मार रखते हैं
बर्क़ कम-हौसला है हम भी तो
दिल को बे-क़रार रखते हैं
ग़ैर ही मूरिद-ए-इनायत है
हम भी तो तुम से प्यार रखते हैं
न निगह ने पयाम ने वादा
नाम को हम भी यार रखते हैं
हम से ख़ुश-ज़मज़मा कहाँ यूँ तो
लब ओ लहजा हज़ार रखते हैं
चोट्टे दिल के हैं बुताँ मशहूर
बस यही ए'तिबार रखते हैं
फिर भी करते हैं 'मीर' साहब इश्क़
हैं जवाँ इख़्तियार रखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Wada Shayari Shayari