husool kaam ka dil-khwaah yaa hua bhi hai | हुसूल काम का दिल-ख़्वाह याँ हुआ भी है

  - Meer Taqi Meer

husool kaam ka dil-khwaah yaa hua bhi hai
samaajat itni bhi sab se koi khuda bhi hai

mooe hi jaate hain ham dard-e-ishq se yaaro
kaso ke paas is aazaar ki dava bhi hai

udaasiyaan theen meri khaanka mein kaabil-e-sair
sanam-kade mein to tik aa ke dil laga bhi hai

ye kahiye kyoonke ki khooban se kuchh nahin matlab
lage jo firte hain ham kuchh to muddaa bhi hai

tira hai vaham ki main apne pairhan mein hoon
nigaah ghaur se kar mujh mein kuchh raha bhi hai

jo kholoon seena-e-majrooh to namak chhidke
jaraahat us ko dikhaane ka kuchh maza bhi hai

kahaan talak shab-o-roz aah-e-dard-e-dil kahiye
har ek baat ko aakhir kuchh intiha bhi hai

havas to dil mein hamaare jagah kare lekin
kahi hujoom se andoh-e-gham ke ja bhi hai

gham-e-firaq hai dumbaala-e-gard aish-e-visaal
faqat maza hi nahin ishq mein bala bhi hai

qubool kariye tiri rah mein jee ko kho dena
jo kuchh bhi paaiye tujh ko to aashna bhi hai

jigar mein sozan-e-mizgaan ke teen kadhab na gado
kaso ke zakham ko tu ne kabhu siya bhi hai

guzaar shehr-e-wafa mein samajh ke kar majnoon
ki is dayaar mein meer shikasta-paa bhi hai

हुसूल काम का दिल-ख़्वाह याँ हुआ भी है
समाजत इतनी भी सब से कोई ख़ुदा भी है

मूए ही जाते हैं हम दर्द-ए-इश्क़ से यारो
कसो के पास इस आज़ार की दवा भी है

उदासियाँ थीं मिरी ख़ानका में काबिल-ए-सैर
सनम-कदे में तो टिक आ के दिल लगा भी है

ये कहिए क्यूँके कि ख़ूबाँ से कुछ नहीं मतलब
लगे जो फिरते हैं हम कुछ तो मुद्दआ' भी है

तिरा है वहम कि मैं अपने पैरहन में हूँ
निगाह ग़ौर से कर मुझ में कुछ रहा भी है

जो खोलूँ सीना-ए-मजरूह तो नमक छिड़के
जराहत उस को दिखाने का कुछ मज़ा भी है

कहाँ तलक शब-ओ-रोज़ आह-ए-दर्द-ए-दिल कहिए
हर एक बात को आख़िर कुछ इंतिहा भी है

हवस तो दिल में हमारे जगह करे लेकिन
कहीं हुजूम से अंदोह-ए-ग़म के जा भी है

ग़म-ए-फ़िराक़ है दुम्बाला-ए-गर्द ऐश-ए-विसाल
फ़क़त मज़ा ही नहीं इश्क़ में बला भी है

क़ुबूल करिए तिरी रह में जी को खो देना
जो कुछ भी पाइए तुझ को तो आश्ना भी है

जिगर में सोज़न-ए-मिज़्गाँ के तीं कढब न गड़ो
कसो के ज़ख़्म को तू ने कभू सिया भी है

गुज़ार शहर-ए-वफ़ा में समझ के कर मजनूँ
कि इस दयार में 'मीर' शिकस्ता-पा भी है

  - Meer Taqi Meer

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari