kahte ho ittihaad hai ham ko
haan kaho e'timaad hai ham ko
shauq hi shauq hai nahin maaloom
is se kya dil nihaad hai ham ko
khat se nikle hai bewafai-e-husn
is qadar to savaad hai ham ko
aah kis dhab se roiyie kam kam
shauq had se ziyaad hai ham ko
shaikh o peer-e-mugaan ki khidmat mein
dil se ik e'tiqaad hai ham ko
saadgi dekh ishq mein us ke
khwahish-e-jaan shaad hai ham ko
bad-gumaani hai jis se tis se aah
qasd-e-shor-o-fasaad hai ham ko
dosti ek se bhi tujh ko nahin
aur sab se inaad hai ham ko
naamuraadana zeest karta tha
meer ka taur yaad hai ham ko
कहते हो इत्तिहाद है हम को
हाँ कहो ए'तिमाद है हम को
शौक़ ही शौक़ है नहीं मालूम
इस से क्या दिल निहाद है हम को
ख़त से निकले है बेवफ़ाई-ए-हुस्न
इस क़दर तो सवाद है हम को
आह किस ढब से रोइए कम कम
शौक़ हद से ज़ियाद है हम को
शैख़ ओ पीर-ए-मुग़ाँ की ख़िदमत में
दिल से इक ए'तिक़ाद है हम को
सादगी देख इश्क़ में उस के
ख़्वाहिश-ए-जान शाद है हम को
बद-गुमानी है जिस से तिस से आह
क़स्द-ए-शोर-ओ-फ़साद है हम को
दोस्ती एक से भी तुझ को नहीं
और सब से इनाद है हम को
नामुरादाना ज़ीस्त करता था
'मीर' का तौर याद है हम को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Afsos Shayari Shayari