jeete-ji koocha-e-dildaar se jaaya na gaya | जीते-जी कूचा-ए-दिलदार से जाया न गया - Meer Taqi Meer

jeete-ji koocha-e-dildaar se jaaya na gaya
us ki deewaar ka sar se mere saaya na gaya

kaav-kaave miza-e-yaar o dil-e-zaar-o-nazaar
guth gaye aise shitaabi ki chhudaaya na gaya

vo to kal der talak dekhta idhar ko raha
hum se hi haal-e-tabaah apna dikhaaya na gaya

garm-rau rah-e-fana ka nahin ho saka patang
us se to shama-numat sar bhi kataaya na gaya

paas-e-naamoos-e-mohabbat tha ki farhaad ke paas
be-sutoon saamne se apne uthaya na gaya

khaak tak koocha-e-dildaar ki chaani hum ne
justuju ki pe dil-e-gum-shuda paaya na gaya

aatish-e-tez judaai mein yakaayak us bin
dil jala yun ki tanik jee bhi jalaya na gaya

mah ne aa saamne shab yaad dilaayaa tha use
phir vo ta subh mere jee se bhulaaya na gaya

zer-e-shamsheer-e-sitam meer tadapna kaisa
sar bhi tasleem-e-mohabbat mein hilaaya na gaya

jee mein aata hai ki kuch aur bhi mauzoon kijeye
dard-e-dil ek ghazal mein to sunaaya na gaya

जीते-जी कूचा-ए-दिलदार से जाया न गया
उस की दीवार का सर से मिरे साया न गया

काव-कावे मिज़ा-ए-यार ओ दिल-ए-ज़ार-ओ-नज़ार
गुथ गए ऐसे शिताबी कि छुड़ाया न गया

वो तो कल देर तलक देखता ईधर को रहा
हम से ही हाल-ए-तबाह अपना दिखाया न गया

गर्म-रौ राह-ए-फ़ना का नहीं हो सकता पतंग
उस से तो शम्अ-नमत सर भी कटाया न गया

पास-ए-नामूस-ए-मोहब्बत था कि फ़रहाद के पास
बे-सुतूँ सामने से अपने उठाया न गया

ख़ाक तक कूचा-ए-दिलदार की छानी हम ने
जुस्तुजू की पे दिल-ए-गुम-शुदा पाया न गया

आतिश-ए-तेज़ जुदाई में यकायक उस बिन
दिल जला यूँ कि तनिक जी भी जलाया न गया

मह ने आ सामने शब याद दिलाया था उसे
फिर वो ता सुब्ह मिरे जी से भुलाया न गया

ज़ेर-ए-शमशीर-ए-सितम 'मीर' तड़पना कैसा
सर भी तस्लीम-ए-मोहब्बत में हिलाया न गया

जी में आता है कि कुछ और भी मौज़ूँ कीजे
दर्द-ए-दिल एक ग़ज़ल में तो सुनाया न गया

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Bechaini Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Bechaini Shayari Shayari