ameeron tak rasai ho chuki bas | अमीरों तक रसाई हो चुकी बस

  - Meer Taqi Meer

ameeron tak rasai ho chuki bas
meri bakht-aazmaai ho chuki bas

bahaar ab ke bhi jo guzri qafas mein
to phir apni rihaai ho chuki bas

kahaan tak us se qissa qaziya har shab
bahut baaham ladai ho chuki bas

na aaya vo mere jaate jahaan se
yahin tak aashnaai ho chuki bas

laga hai hausla bhi karne tangi
ghamon ki ab samaai ho chuki bas

barabar khaak ke to kar dikhaaya
falak bas be-adaai ho chuki bas

danee ke paas kuchh rahti hai daulat
hamaare haath aayi ho chuki bas

dikha us but ko phir bhi ya khudaaya
tiri qudrat-numaai ho chuki bas

sharar ki si hai chashmak fursat-e-umr
jahaan de tuk dikhaai ho chuki bas

gale mein gerwi kafni hai ab meer
tumhaari meerzaai ho chuki bas

अमीरों तक रसाई हो चुकी बस
मिरी बख़्त-आज़माई हो चुकी बस

बहार अब के भी जो गुज़री क़फ़स में
तो फिर अपनी रिहाई हो चुकी बस

कहाँ तक उस से क़िस्सा क़ज़िया हर शब
बहुत बाहम लड़ाई हो चुकी बस

न आया वो मिरे जाते जहाँ से
यहीं तक आश्नाई हो चुकी बस

लगा है हौसला भी करने तंगी
ग़मों की अब समाई हो चुकी बस

बराबर ख़ाक के तो कर दिखाया
फ़लक बस बे-अदाई हो चुकी बस

दनी के पास कुछ रहती है दौलत
हमारे हाथ आई हो चुकी बस

दिखा उस बुत को फिर भी या ख़ुदाया
तिरी क़ुदरत-नुमाई हो चुकी बस

शरर की सी है चश्मक फ़ुर्सत-ए-उम्र
जहाँ दे टुक दिखाई हो चुकी बस

गले में गेरवी कफ़नी है अब 'मीर'
तुम्हारी मीरज़ाई हो चुकी बस

  - Meer Taqi Meer

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari