kya mere aane pe tu ai but-e-maghrur gaya | क्या मिरे आने पे तू ऐ बुत-ए-मग़रूर गया

  - Meer Taqi Meer

kya mere aane pe tu ai but-e-maghrur gaya
kabhi us raah se nikla to tujhe ghur gaya

le gaya subh ke nazdeek mujhe khwaab ai waaye
aankh us waqt khuli qaafila jab door gaya

gor se naale nahin uthte to nay ugati hai
jee gaya par na hamaara sar pur-shor gaya

chashm-e-khun-basta se kal raat lahu phir tapka
ham ne jaana tha ki bas ab to ye naasoor gaya

na-tawan ham hain ki hain khaak gali ki us ki
ab to be-taaqati se dil ka bhi maqdoor gaya

le kahi munh pe naqaab apne ki ai ghairat-e-subh
sham'a ke chahra-e-rakhshaan se to ab noor gaya

naala-e-meer nahin raat se sunte ham log
kya tire kooche se ai shokh vo ranjoor gaya

क्या मिरे आने पे तू ऐ बुत-ए-मग़रूर गया
कभी उस राह से निकला तो तुझे घूर गया

ले गया सुब्ह के नज़दीक मुझे ख़्वाब ऐ वाए
आँख उस वक़्त खुली क़ाफ़िला जब दूर गया

गोर से नाले नहीं उठते तो नय उगती है
जी गया पर न हमारा सर पुर-शोर गया

चश्म-ए-ख़ूँ-बस्ता से कल रात लहू फिर टपका
हम ने जाना था कि बस अब तो ये नासूर गया

ना-तवाँ हम हैं कि हैं ख़ाक गली की उस की
अब तो बे-ताक़ती से दिल का भी मक़्दूर गया

ले कहीं मुँह पे नक़ाब अपने कि ऐ ग़ैरत-ए-सुब्ह
शम्अ' के चहरा-ए-रख्शां से तो अब नूर गया

नाला-ए-मीर नहीं रात से सुनते हम लोग
क्या तिरे कूचे से ऐ शोख़ वो रंजूर गया

  - Meer Taqi Meer

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari