moh mein sajde mein par naqsh mera baar raha
us aastaan pe meri khaak se ghubaar raha
junoon mein ab ke mujhe apne dil ka gham hai pe haif
khabar li jab ki na jaame mein ek taar raha
bashar hai vo pe khula jab se us ka daam-e-zulf
sar-e-rah us ke farishte hi ka shikaar raha
kabhu na aankhon mein aaya vo shokh khwaab ki tarah
tamaam-umr hamein us ka intizaar raha
sharaab-e-aish mayassar hui jise ik shab
phir us ko roz-e-qayaamat talak khumaar raha
butaan ke ishq ne be-ikhtiyaar kar daala
vo dil ki jis ka khudaai mein ikhtiyaar raha
vo dil ki shaam-o-sehar jaise pakka phoda tha
vo dil ki jis se hamesha jigar-figaar raha
tamaam-umr gai us pe haath rakhte hamein
vo dardnaak allarghm be-qaraar raha
sitam mein gham mein sar-anjaam us ka kya kahiye
hazaaron hasratein theen tis pe jee ko maar raha
baha to khoon ho aankhon ki raah bah nikla
raha jo seena-e-sozaan mein daagdaar raha
so us ko ham se faraamosh-kaariyon le gaye
ki us se qatra-e-khoon bhi na yaadgaar raha
gali mein us ki gaya so gaya na bola phir
main meer meer kar us ko bahut pukaar raha
मोह में सज्दे में पर नक़्श मेरा बार रहा
उस आस्ताँ पे मिरी ख़ाक से ग़ुबार रहा
जुनूँ में अब के मुझे अपने दिल का ग़म है पे हैफ़
ख़बर ली जब कि न जामे में एक तार रहा
बशर है वो पे खुला जब से उस का दाम-ए-ज़ुल्फ़
सर-ए-रह उस के फ़रिश्ते ही का शिकार रहा
कभू न आँखों में आया वो शोख़ ख़्वाब की तरह
तमाम-उम्र हमें उस का इंतिज़ार रहा
शराब-ए-ऐश मयस्सर हुई जिसे इक शब
फिर उस को रोज़-ए-क़यामत तलक ख़ुमार रहा
बुताँ के इश्क़ ने बे-इख़्तियार कर डाला
वो दिल कि जिस का ख़ुदाई में इख़्तियार रहा
वो दिल कि शाम-ओ-सहर जैसे पक्का फोड़ा था
वो दिल कि जिस से हमेशा जिगर-फ़िगार रहा
तमाम-उम्र गई उस पे हाथ रखते हमें
वो दर्दनाक अलर्रग़्म बे-क़रार रहा
सितम में ग़म में सर-अंजाम उस का क्या कहिए
हज़ारों हसरतें थीं तिस पे जी को मार रहा
बहा तो ख़ून हो आँखों की राह बह निकला
रहा जो सीना-ए-सोज़ाँ में दाग़दार रहा
सो उस को हम से फ़रामोश-कारियों ले गए
कि उस से क़तरा-ए-ख़ूँ भी न यादगार रहा
गली में उस की गया सो गया न बोला फिर
मैं 'मीर' 'मीर' कर उस को बहुत पुकार रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Aadmi Shayari Shayari