us ke kooche se jo uth ahl-e-wafa jaate hain
ta-nazar kaam kare roo-b-qafa jaate hain
muttasil rote hi rahiye to bujhe aatish-e-dil
ek do aansu to aur aag laga jaate hain
waqt-e-khush un ka jo ham-bazm hain tere ham to
dar-o-deewar ko ahvaal suna jaate hain
jaayegi taqat-e-pa aah tu kareega kya
ab to ham haal kabhu tum ko dikha jaate hain
ek beemaar-e-judai hoon main aafi tis par
poochne waale juda jaan ko kha jaate hain
gair ki tegh-e-zabaan se tiri majlis mein to ham
aa ke roz ek naya zakham utha jaate hain
arz-e-wahshat na diya kar to bagule itni
apni waadi pe kabhu yaar bhi aa jaate hain
meer sahab bhi tire kooche mein shab aate hain lek
jaise daryooza-gari karne gada jaate hain
उस के कूचे से जो उठ अहल-ए-वफ़ा जाते हैं
ता-नज़र काम करे रू-ब-क़फ़ा जाते हैं
मुत्तसिल रोते ही रहिए तो बुझे आतिश-ए-दिल
एक दो आँसू तो और आग लगा जाते हैं
वक़्त-ए-ख़ुश उन का जो हम-बज़्म हैं तेरे हम तो
दर-ओ-दीवार को अहवाल सुना जाते हैं
जाएगी ताक़त-ए-पा आह तू करीएगा क्या
अब तो हम हाल कभू तुम को दिखा जाते हैं
एक बीमार-ए-जुदाई हूँ मैं आफी तिस पर
पूछने वाले जुदा जान को खा जाते हैं
ग़ैर की तेग़-ए-ज़बाँ से तिरी मज्लिस में तो हम
आ के रोज़ एक नया ज़ख़्म उठा जाते हैं
अर्ज़-ए-वहशत न दिया कर तो बगूले इतनी
अपनी वादी पे कभू यार भी आ जाते हैं
'मीर' साहब भी तिरे कूचे में शब आते हैं लेक
जैसे दरयूज़ा-गरी करने गदा जाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Sad Shayari Shayari