tire ishq mein aage sauda hua tha
par itna bhi zalim na rusva hua tha
khizaan iltifaat us pe karti baja thi
ye guncha-e-chaman mein abhi vaa hua tha
kahaan tha to is taur aane se mere
gali mein tiri kal tamasha hua tha
gai hoti sar aabloon ke pe hui khair
bada qaziya khaaron se barpa hua tha
garebaan se tab haath uthaya tha main ne
meri aur daamaan sehra hua tha
zahe-taale' ai meer un ne ye poocha
kahaan tha tu ab tak tujhe kya hua tha
तिरे इश्क़ में आगे सौदा हुआ था
पर इतना भी ज़ालिम न रुस्वा हुआ था
ख़िज़ाँ इल्तिफ़ात उस पे करती बजा थी
ये ग़ुंचा-ए-चमन में अभी वा हुआ था
कहाँ था तो इस तौर आने से मेरे
गली में तिरी कल तमाशा हुआ था
गई होती सर आबलों के पे हुई ख़ैर
बड़ा क़ज़िया ख़ारों से बरपा हुआ था
गरेबाँ से तब हाथ उठाया था मैं ने
मिरी और दामाँ सहरा हुआ था
ज़हे-तालेअ' ऐ 'मीर' उन ने ये पूछा
कहाँ था तू अब तक तुझे क्या हुआ था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Raasta Shayari Shayari