aaj-kal be-qaraar hain ham bhi | आज-कल बे-क़रार हैं हम भी

  - Meer Taqi Meer

aaj-kal be-qaraar hain ham bhi
baith ja chalne haar hain ham bhi

aan mein kuchh hain aan mein kuchh hain
tohfa-e-rozgaar hain ham bhi

manaa giryaa na kar to ai naaseh
is mein be-ikhtiyaar hain ham bhi

darpay jaan hai qaraavul marg
kaso ke to shikaar hain ham bhi

naale kariyo samajh ke ai bulbul
baagh mein yak kanaar hain ham bhi

muddai ko sharaab ham ko zahar
aqibat dost-daar hain ham bhi

muztarib giryaa naak hai ye gul
barq abr-e-bahaar hain ham bhi

gar z-khud rafta hain tire nazdeek
apne to yaadgaar hain ham bhi

meer naam ik jawaan suna hoga
usi aashiq ke yaar hain ham bhi

आज-कल बे-क़रार हैं हम भी
बैठ जा चलने हार हैं हम भी

आन में कुछ हैं आन में कुछ हैं
तोह्फ़ा-ए-रोज़गार हैं हम भी

मना गिर्या न कर तो ऐ नासेह
इस में बे-इख़्तियार हैं हम भी

दरपय जान है क़रावुल मर्ग
कसो के तो शिकार हैं हम भी

नाले करियो समझ के ऐ बुलबुल
बाग़ में यक कनार हैं हम भी

मुद्दई' को शराब हम को ज़हर
आक़िबत दोस्त-दार हैं हम भी

मुज़्तरिब गिर्या नाक है ये गुल
बर्क़ अब्र-ए-बहार हैं हम भी

गर ज़-ख़ुद रफ़्ता हैं तिरे नज़दीक
अपने तो यादगार हैं हम भी

'मीर' नाम इक जवाँ सुना होगा
उसी आशिक़ के यार हैं हम भी

  - Meer Taqi Meer

Dost Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Dost Shayari Shayari