burqa utha tha rukh se mere bad-gumaan ka | बुर्क़ा उठा था रुख़ से मिरे बद-गुमान का - Meer Taqi Meer

burqa utha tha rukh se mere bad-gumaan ka
dekha to aur rang hai saare jahaan ka

mat maanio ki hoga ye be-dard ahl-e-deen
gar aave shaikh pahan ke jaama quraan ka

khoobi ko us ke chehre ki kya pahunchen aftaab
hai us mein is mein farq zameen aasmaan ka

ablaa hai vo jo hove khareedaar-e-gul-rukhaan
us saude mein sariih hai nuksaan jaan ka

kuch aur gaate hain jo raqeeb us ke roo-b-roo
dushman hain meri jaan ke ye jee hai taan ka

taskin us ki tab hui jab chup mujhe lagi
mat pooch kuch sulook mere bad-zabaan ka

yaa bulbul aur gul pe to ibarat se aankh khol
gul-gasht sarsari nahin us gulistaan ka

gul yaadgaar-e-chehra-e-khoobaan hai be-khabar
murgh-e-chaman nishaan hai kasoo khush-zabaan ka

tu barson mein kahe hai miloonga main meer se
yaa kuch ka kuch hai haal abhi is jawaan ka

बुर्क़ा उठा था रुख़ से मिरे बद-गुमान का
देखा तो और रंग है सारे जहान का

मत मानियो कि होगा ये बे-दर्द अहल-ए-दीं
गर आवे शैख़ पहन के जामा क़ुरआन का

ख़ूबी को उस के चेहरे की क्या पहुँचे आफ़्ताब
है उस में इस में फ़र्क़ ज़मीन आसमान का

अब्ला है वो जो होवे ख़रीदार-ए-गुल-रुख़ाँ
उस सौदे में सरीह है नुक़सान जान का

कुछ और गाते हैं जो रक़ीब उस के रू-ब-रू
दुश्मन हैं मेरी जान के ये जी है तान का

तस्कीन उस की तब हुई जब चुप मुझे लगी
मत पूछ कुछ सुलूक मिरे बद-ज़बान का

याँ बुलबुल और गुल पे तो इबरत से आँख खोल
गुल-गश्त सरसरी नहीं उस गुलिस्तान का

गुल यादगार-ए-चेहरा-ए-ख़ूबाँ है बे-ख़बर
मुर्ग़-ए-चमन निशाँ है कसू ख़ुश-ज़बान का

तू बरसों में कहे है मिलूँगा मैं 'मीर' से
याँ कुछ का कुछ है हाल अभी इस जवान का

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari