mashhoor hain dinon ki mere be-qaraariyaan | मशहूर हैं दिनों की मिरे बे-क़रारियाँ

  - Meer Taqi Meer

mashhoor hain dinon ki mere be-qaraariyaan
jaati hain la-makaan ko dil-e-shab ki zaariyan

chehre pe jaise zakham hai nakhun ka har kharaash
ab deedaani hui hain meri dast-kaariyan

sau baar ham ne gul ke gaye par chaman ke beech
bhar di hain aab-e-chashm se raaton ko kiyaariyaan

kushte ki us ke khaak bhare jism-e-zaar par
khaali nahin hain lutf se lohoo ki dhaariyaan

turbat se aashiqon ke na utha kabhu ghubaar
jee se gaye wale na gaeein raaz-daariyan

ab kis kis apni khwish-e-murda ko roiyie
theen ham ko is se saikdon ummeedwaariyaan

padhte firenge galiyon mein in rekhton ko log
muddat raheingi yaad ye baatein hamaariyan

kya jaante the aise din aa jaayenge shitaab
rote gazratiyan hain hamein raatein saariyaan

gul ne hazaar rang-e-sukhan sar kiya wale
dil se gaeein na baatein tiri pyaari pyaariyan

jaaoge bhool ahad ko farhaad-o-qais ke
gar pahunche ham shikasta-dilon ki bhi baariyan

bach jaata ek raat jo kat jaati aur meer
kaaten theen kohkan ne bahut raatein bhaariyan

मशहूर हैं दिनों की मिरे बे-क़रारियाँ
जाती हैं ला-मकाँ को दिल-ए-शब की ज़ारियाँ

चेहरे पे जैसे ज़ख़्म है नाख़ुन का हर ख़राश
अब दीदनी हुई हैं मिरी दस्त-कारीयाँ

सौ बार हम ने गुल के गए पर चमन के बीच
भर दी हैं आब-ए-चश्म से रातों को कियारियाँ

कुश्ते की उस के ख़ाक भरे जिस्म-ए-ज़ार पर
ख़ाली नहीं हैं लुत्फ़ से लोहू की धारियाँ

तुर्बत से आशिक़ों के न उठा कभू ग़ुबार
जी से गए वले न गईं राज़-दारीयाँ

अब किस किस अपनी ख़्वाहिश-ए-मुर्दा को रोइए
थीं हम को इस से सैंकड़ों उम्मीदवारियाँ

पढ़ते फिरेंगे गलियों में इन रेख़्तों को लोग
मुद्दत रहेंगी याद ये बातें हमारीयाँ

क्या जानते थे ऐसे दिन आ जाएँगे शिताब
रोते गज़रतियाँ हैं हमें रातें सारियाँ

गुल ने हज़ार रंग-ए-सुख़न सर किया वले
दिल से गईं न बातें तिरी प्यारी प्यारियाँ

जाओगे भूल अहद को फ़रहाद-ओ-क़ैस के
गर पहुँचें हम शिकस्ता-दिलों की भी बारियां

बच जाता एक रात जो कट जाती और 'मीर'
काटें थीं कोहकन ने बहुत रातें भारीयाँ

  - Meer Taqi Meer

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari