vehshat thi hamein bhi wahi ghar-baar se ab tak
sar maare hain apne dar o deewaar se ab tak
marte hi suna un ko jinhen dil-lagi kuchh thi
achha hua koi is aazaar se ab tak
jab se lagi hain aankhen khuli raah take hain
soye nahin saath us ke kabhu pyaar se ab tak
aaya tha kabhu yaar so maamool ham us ke
bistar pe gire rahte hain beemaar se ab tak
bad-ahdiyon mein waqt-e-wafaat aan bhi pahuncha
vaada na hua ek wafa yaar se ab tak
hai qahar o gazab dekh taraf kushte ke zalim
karta hai ishaarat bhi tu talwaar se ab tak
kuchh ranj-e-dili meer jawaani mein khincha tha
zardee nahin jaati mere rukhsaar se ab tak
वहशत थी हमें भी वही घर-बार से अब तक
सर मारे हैं अपने दर ओ दीवार से अब तक
मरते ही सुना उन को जिन्हें दिल-लगी कुछ थी
अच्छा हुआ कोई इस आज़ार से अब तक
जब से लगी हैं आँखें खुली राह तके हैं
सोए नहीं साथ उस के कभू प्यार से अब तक
आया था कभू यार सो मामूल हम उस के
बिस्तर पे गिरे रहते हैं बीमार से अब तक
बद-अहदियों में वक़्त-ए-वफ़ात आन भी पहुँचा
वादा न हुआ एक वफ़ा यार से अब तक
है क़हर ओ ग़ज़ब देख तरफ़ कुश्ते के ज़ालिम
करता है इशारत भी तू तलवार से अब तक
कुछ रंज-ए-दिली 'मीर' जवानी में खिंचा था
ज़र्दी नहीं जाती मिरे रुख़्सार से अब तक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Wafa Shayari Shayari