kuchh karo fikr mujh deewane ki
dhoom hai phir bahaar aane ki
dil ka us kunj-e-lab se de hai nishaan
baat lagti to hai thikaane ki
vo jo firta hai mujh se door hi door
hai ye taqreeb jee ke jaane ki
tez yun hi na thi shab aatish-e-shauq
thi khabar garm us ke aane ki
khizr us khatt-e-sabz par to mua
dhun hai ab apne zahar khaane ki
dil-e-sad-chaak baab-e-zulf hai lek
baav si bandh rahi hai shaane ki
kisoo kam-zarf ne lagaaee aah
tujh se may-khaane ke jalane ki
warna ai sheikh-e-shahr waajib thi
jaam-daari sharaab-khaane ki
jo hai so paayemaal-e-gham hai meer
chaal be-dol hai zamaane ki
कुछ करो फ़िक्र मुझ दीवाने की
धूम है फिर बहार आने की
दिल का उस कुंज-ए-लब से दे है निशाँ
बात लगती तो है ठिकाने की
वो जो फिरता है मुझ से दूर ही दूर
है ये तक़रीब जी के जाने की
तेज़ यूँ ही न थी शब आतिश-ए-शौक़
थी ख़बर गर्म उस के आने की
ख़िज़्र उस ख़त्त-ए-सब्ज़ पर तो मुआ
धुन है अब अपने ज़हर खाने की
दिल-ए-सद-चाक बाब-ए-जुल्फ़ है लेक
बाव सी बंध रही है शाने की
किसू कम-ज़र्फ़ ने लगाई आह
तुझ से मय-ख़ाने के जलाने की
वर्ना ऐ शैख़-ए-शहर वाजिब थी
जाम-दारी शराब-ख़ाने की
जो है सो पाएमाल-ए-ग़म है 'मीर'
चाल बे-डोल है ज़माने की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Dushmani Shayari Shayari