kya kahoon tum se main ki kya hai ishq | क्या कहूँ तुम से मैं कि क्या है इश्क़ - Meer Taqi Meer

kya kahoon tum se main ki kya hai ishq
jaan ka rog hai bala hai ishq

ishq hi ishq hai jahaan dekho
saare aalam mein bhar raha hai ishq

ishq hai tarz o taur ishq ke tai
kahi banda kahi khuda hai ishq

ishq maashooq ishq aashiq hai
yaani apna hi mubtala hai ishq

gar parastish khuda ki saabit ki
kisoo soorat mein ho bhala hai ishq

dilkash aisa kahaan hai dushman-e-jaan
muddai hai p muddaa hai ishq

hai hamaare bhi taur ka aashiq
jis kisi ko kahi hua hai ishq

koi khwaahan nahin mohabbat ka
tu kahe jins-e-na-rava hai ishq

meer'-ji zard hote jaate ho
kya kahi tum ne bhi kiya hai ishq

क्या कहूँ तुम से मैं कि क्या है इश्क़
जान का रोग है बला है इश्क़

इश्क़ ही इश्क़ है जहाँ देखो
सारे आलम में भर रहा है इश्क़

इश्क़ है तर्ज़ ओ तौर इश्क़ के तईं
कहीं बंदा कहीं ख़ुदा है इश्क़

इश्क़ माशूक़ इश्क़ आशिक़ है
यानी अपना ही मुब्तला है इश्क़

गर परस्तिश ख़ुदा की साबित की
किसू सूरत में हो भला है इश्क़

दिलकश ऐसा कहाँ है दुश्मन-ए-जाँ
मुद्दई है प मुद्दआ है इश्क़

है हमारे भी तौर का आशिक़
जिस किसी को कहीं हुआ है इश्क़

कोई ख़्वाहाँ नहीं मोहब्बत का
तू कहे जिंस-ए-ना-रवा है इश्क़

'मीर'-जी ज़र्द होते जाते हो
क्या कहीं तुम ने भी किया है इश्क़

- Meer Taqi Meer
10 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari