dil ki taraf kuchh aah se dil ka lagao hai | दिल की तरफ़ कुछ आह से दिल का लगाओ है

  - Meer Taqi Meer

dil ki taraf kuchh aah se dil ka lagao hai
tak aap bhi to aaiye yaa zor baav hai

uthata nahin hai haath tira tegh-e-jaur se
naahak kushi kahaan tai ye kya subhaav hai

baag-e-nazar hai chashm ke manzar ka sab jahaan
tak thehro yaa to jaano ki kaisa dikhaao hai

taqreeb ham ne daali hai us se jooe ki ab
jo ban pade hai tak to hamaara hi daav hai

tapka kare hai aankh se lohoo hi roz-o-shab
chehre pe mere chashm hai ya koi ghaav hai

zabt sarishk-e-khooni se jee kyoonke shaad ho
ab dil ki taraf lohoo ka saara bahao hai

ab sab ke rozgaar ki soorat bigad gai
laakhon mein ek do ka kahi kuchh banaao hai

chaati ke meri saare numoodaar hain ye zakham
parda raha hai kaun sa ab kya chhupao hai

aashiq kahein jo hoge to jaanoge qadr-e-'meer
ab to kisi ke chaahne ka tum ko chaav hai

दिल की तरफ़ कुछ आह से दिल का लगाओ है
टक आप भी तो आइए याँ ज़ोर बाव है

उठता नहीं है हाथ तिरा तेग़-ए-जौर से
नाहक़ कुशी कहाँ तईं ये क्या सुभाव है

बाग़-ए-नज़र है चश्म के मंज़र का सब जहाँ
टक ठहरो याँ तो जानो कि कैसा दिखाओ है

तक़रीब हम ने डाली है उस से जूए की अब
जो बन पड़े है टक तो हमारा ही दाव है

टपका करे है आँख से लोहू ही रोज़-ओ-शब
चेहरे पे मेरे चश्म है या कोई घाव है

ज़ब्त सरिश्क-ए-ख़ूनीं से जी क्यूँके शाद हो
अब दिल की तरफ़ लोहू का सारा बहाओ है

अब सब के रोज़गार की सूरत बिगड़ गई
लाखों में एक दो का कहीं कुछ बनाओ है

छाती के मेरी सारे नुमूदार हैं ये ज़ख़्म
पर्दा रहा है कौन सा अब क्या छुपाओ है

आशिक़ कहें जो होगे तो जानोगे क़द्र-ए-'मीर'
अब तो किसी के चाहने का तुम को चाव है

  - Meer Taqi Meer

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari