jo kaho tum so hai baja sahab | जो कहो तुम सो है बजा साहब

  - Meer Taqi Meer

jo kaho tum so hai baja sahab
ham bure hi sahi bhala sahab

saada-zehni mein nuqta-cheen the tum
ab to hain harf-aashna sahab

na diya rehm tuk buton ke tai
kya kiya haaye ye khuda sahab

bandagi ek apni kya kam hai
aur kuchh tum se kahiye kya sahab

mehr-afza hai munh tumhaara hi
kuchh gazab to nahin hua sahab

khat ke fatne ka tum se kya shikwa
apne taalea ka ye likha sahab

phir gaeein aankhen tum na aan phire
dekha tum ko bhi waah-wa sahab

shauq-e-rukha yaad-e-lab gham-e-deedaar
jee mein kya kya mere raha sahab

bhool jaana nahin ghulaam ka khoob
yaad khaatir rahe mera sahab

kin ne sun sher-e-'meer ye na kaha
kahiyo phir haaye kya kaha sahab

जो कहो तुम सो है बजा साहब
हम बुरे ही सही भला साहब

सादा-ज़ेहनी में नुक्ता-चीं थे तुम
अब तो हैं हर्फ़-आशना साहब

न दिया रहम टुक बुतों के तईं
क्या किया हाए ये ख़ुदा साहब

बंदगी एक अपनी क्या कम है
और कुछ तुम से कहिए क्या साहब

मेहर-अफ़ज़ा है मुँह तुम्हारा ही
कुछ ग़ज़ब तो नहीं हुआ साहब

ख़त के फटने का तुम से क्या शिकवा
अपने तालेअ' का ये लिखा साहब

फिर गईं आँखें तुम न आन फिरे
देखा तुम को भी वाह-वा साहब

शौक़-ए-रुख़ याद-ए-लब ग़म-ए-दीदार
जी में क्या क्या मिरे रहा साहब

भूल जाना नहीं ग़ुलाम का ख़ूब
याद ख़ातिर रहे मिरा साहब

किन ने सुन शेर-ए-'मीर' ये न कहा
कहियो फिर हाए क्या कहा साहब

  - Meer Taqi Meer

Sach Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Sach Shayari Shayari