falak ne gar kiya ruksat mujhe sair-e-bayaabaan ko
nikala sar se mere jaaye moo khaar-e-mughilaan ko
vo zalim bhi to samjhe kah rakha hai ham ne yaaraan ko
ki goristaan se gaadein juda ham ahl-e-hijraan ko
nahin ye bed-e-majnoon gardish-e-gardoon-e-gardaam ne
banaya hai shajar kya jaaniye kis moo pareshaan ko
hue the jaise mar jaate par ab to sakht hasrat hai
kiya dushwaar nadaani se ham ne kaar-e-aasaan ko
kahi nasl aadmi ki uth na jaave is zamaane mein
ki moti aab-e-haiwaan jaante hain aab-e-insaan ko
tujhe gir chashm-e-ibrat hai to aandhi aur bagule se
tamasha kar ghubaar-afshaani khaak-e-azeezaan ko
libaas-e-mard-e-maidaan jauhar-e-zaati kifaayat hai
nahin piroey poshish ma'arke mein tegh-e-uryaan ko
hawa-e-abr mein garmi nahin jo tu na ho saaqi
dam afsurda kar de munjamid rashhaat-e-baaraan ko
jalen hain kab ki mizgaan aansuon ki garm-joshi se
us aab-e-chashm ki joshish ne aatish di neestaan ko
vo kaafir ishq ka hai dil ki meri bhi rag-e-jaan tak
sada zunnar hi tasbeeh hai us na-muslmaan ko
ghuroor-e-naaz se aankhen na kholee is jafaa-joo ne
mila paanv tale jab tak na chashm-e-sad-ghazaalaan ko
na si chashm-e-tama khwaan-e-falak par khaam-dasti se
ki jaam-e-khoon de hai har sehar ye apne mehmaan ko
zi-bas sirf junoon mere hua aahan ajab mat kar
na ho gar halka-e-dar khaana-e-zanjeer-saaza ko
bane na-waaqif-e-shaadi agar ham bazm-e-ishrat mein
dahaan-e-zakhm-e-dil samjhe jo dekha roo-e-khandaan ko
nahin reg-e-ravaan majnoon ke dil ki be-qaraari ne
kiya hai muztarib har zara-e-gard-e-bayaabaan ko
kisi ke vaaste rooswa-e-aalam ho pe jee mein rakh
ki maara jaaye jo zaahir kare us raaz-e-pinhan ko
giri padti hai bijli hi tabhi se khirman gul par
tak ik hans mere rone par ki dekhe tere dandaan ko
ghuroor-e-naaz-e-qaatil ko liye ja hai koi pooche
chala to saunp kar kis ke tai us said-e-be-jaan ko
vo tukhm-e-sokhta the ham ki sar-sabzi na ki haasil
milaaya khaak mein daana namat hasrat se dahkaan ko
hua hoon guncha-e-pazmurda aakhir fasl ka tujh bin
na de barbaad hasrat kushta-e-sar-dar-garebaan ko
gham-o-andoh-o-be-taabi alam be-taaqati hirmaan
kahoon ai hum-nasheen taa-chand gham-ha-e-firaavaan ko
gul-o-sarv-o-saman gir jaayenge mat sair-e-gulshan kar
mila mat khaak mein un baagh ke ra'na javaanaan ko
bahut roye jo ham ye aasteen rakh munh pe ai bijli
na chashm-e-kam se dekh us yaadgaar-e-chashm-e-giryaan ko
mizaaj us waqt hai ik matla-e-taaza pe kuchh maail
ki be-fikr sukhun banti nahin hargiz sukhan-daan ko
फ़लक ने गर किया रुख़्सत मुझे सैर-ए-बयाबाँ को
निकाला सर से मेरे जाए मू ख़ार-ए-मुग़ीलाँ को
वो ज़ालिम भी तो समझे कह रखा है हम ने याराँ को
कि गोरिस्तान से गाड़ें जुदा हम अहल-ए-हिज्राँ को
नहीं ये बेद-ए-मजनूँ गर्दिश-ए-गरदून-ए-गर्दां ने
बनाया है शजर क्या जानिए किस मू परेशाँ को
हुए थे जैसे मर जाते पर अब तो सख़्त हसरत है
किया दुश्वार नादानी से हम ने कार-ए-आसाँ को
कहीं नस्ल आदमी की उठ न जावे इस ज़माने में
कि मोती आब-ए-हैवाँ जानते हैं आब-ए-इंसाँ को
तुझे गिर चश्म-ए-इबरत है तो आँधी और बगूले से
तमाशा कर ग़ुबार-अफ़्शानी ख़ाक-ए-अज़ीज़ाँ को
लिबास-ए-मर्द-ए-मैदाँ जौहर-ए-ज़ाती किफ़ायत है
नहीं पिरोए पोशिश मा'रके में तेग़-ए-उर्यां को
हवा-ए-अब्र में गर्मी नहीं जो तू न हो साक़ी
दम अफ़्सुर्दा कर दे मुंजमिद रशहात-ए-बाराँ को
जलें हैं कब की मिज़्गाँ आँसुओं की गर्म-जोशी से
उस आब-ए-चश्म की जोशिश ने आतिश दी नीस्ताँ को
वो काफ़िर इश्क़ का है दिल कि मेरी भी रग-ए-जाँ तक
सदा ज़ुन्नार ही तस्बीह है उस ना-मुसलमाँ को
ग़ुरूर-ए-नाज़ से आँखें न खोलीं इस जफ़ा-जू ने
मिला पाँव तले जब तक न चश्म-ए-सद-ग़ज़ालाँ को
न सी चश्म-ए-तमा ख़्वान-ए-फ़लक पर ख़ाम-दसती से
कि जाम-ए-ख़ून दे है हर सहर ये अपने मेहमाँ को
ज़ि-बस सिर्फ़ जुनूँ मेरे हुआ आहन अजब मत कर
न हो गर हल्क़ा-ए-दर ख़ाना-ए-ज़ंजीर-साज़ाँ को
बने ना-वाक़िफ़-ए-शादी अगर हम बज़्म-ए-इशरत में
दहान-ए-ज़ख़म-ए-दिल समझे जो देखा रू-ए-ख़ंदाँ को
नहीं रेग-ए-रवाँ मजनूँ के दिल की बे-क़रारी ने
किया है मुज़्तरिब हर ज़रा-ए-गर्द-ए-बयाबाँ को
किसी के वास्ते रूस्वा-ए-आलम हो पे जी में रख
कि मारा जाए जो ज़ाहिर करे उस राज़-ए-पिन्हाँ को
गिरी पड़ती है बिजली ही तभी से ख़िर्मन गुल पर
टक इक हंस मेरे रोने पर कि देखे तेरे दंदाँ को
ग़ुरूर-ए-नाज़-ए-क़ातिल को लिए जा है कोई पूछे
चला तो सौंप कर किस के तईं उस सैद-ए-बे-जाँ को
वो तुख़्म-ए-सोख़्ता थे हम कि सर-सब्ज़ी न की हासिल
मिलाया ख़ाक में दाना नमत हसरत से दहक़ाँ को
हुआ हूँ गुंचा-ए-पज़मुर्दा आख़िर फ़स्ल का तुझ बिन
न दे बरबाद हसरत कुश्ता-ए-सर-दर-गरेबाँ को
ग़म-ओ-अंदोह-ओ-बे-ताबी अलम बे-ताक़ती हिरमाँ
कहूँ ऐ हम-नशीं ता-चंद ग़म-हा-ए-फ़िरावाँ को
गुल-ओ-सर्व-ओ-समन गिर जाएँगे मत सैर-ए-गुलशन कर
मिला मत ख़ाक में उन बाग़ के रा'ना जवानाँ को
बहुत रोए जो हम ये आस्तीं रख मुँह पे ऐ बिजली
न चश्म-ए-कम से देख उस यादगार-ए-चश्म-ए-गिर्याँ को
मिज़ाज उस वक़्त है इक मतला-ए-ताज़ा पे कुछ माइल
कि बे-फ़िक्र सुख़न बनती नहीं हरगिज़ सुख़न-दाँ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Waqt Shayari Shayari