raat se aansu meri aankhon mein phir aane laga | रात से आँसू मिरी आँखों में फिर आने लगा - Meer Taqi Meer

raat se aansu meri aankhon mein phir aane laga
yak ramq jee tha badan mein so bhi ghabraane laga

vo ladakpan se nikal kar teg chamkaane laga
khoon karne ka khayal ab kuch use aane laga

laal-e-jaan-bakhsh us ke the poshida jun aab-e-hayaat
ab to koi koi in honthon pe mar jaane laga

haif main us ke sukhun par tuk na rakha gosh ko
yun to naaseh ne kaha tha dil na deewane laga

habs-e-dam ke mo'taqid tum hoge sheikh-e-shahr ke
ye to albatta ki sun kar laan dam khaane laga

garm milna us gul-e-naazuk-tabee'at se na ho
chaandni mein raat baitha tha sau murjhaane laga

aashiqon ki paayemaali mein use israar hai
ya'ni vo mahshar-khiraam ab paanv failaane laga

chashmak us mah ki si dilkash deed mein aayi nahin
go sitaara subah ka bhi aankh jhapkaane laga

kyunkar us aaina-roo se meer maliye be-hijaab
vo to apne aks se bhi dekho sharmaane laga

रात से आँसू मिरी आँखों में फिर आने लगा
यक रमक़ जी था बदन में सो भी घबराने लगा

वो लड़कपन से निकल कर तेग़ चमकाने लगा
ख़ून करने का ख़याल अब कुछ उसे आने लगा

ला'ल-ए-जाँ-बख़्श उस के थे पोशीदा जूँ आब-ए-हयात
अब तो कोई कोई इन होंठों पे मर जाने लगा

हैफ़ मैं उस के सुख़न पर टुक न रक्खा गोश को
यूँ तो नासेह ने कहा था दिल न दीवाने लगा

हब्स-ए-दम के मो'तक़िद तुम होगे शैख़-ए-शहर के
ये तो अलबत्ता कि सुन कर ला'न दम खाने लगा

गर्म मिलना उस गुल-ए-नाज़ुक-तबीअ'त से न हो
चाँदनी में रात बैठा था सौ मुरझाने लगा

आशिक़ों की पाएमाली में उसे इसरार है
या'नी वो महशर-ख़िराम अब पाँव फैलाने लगा

चश्मक उस मह की सी दिलकश दीद में आई नहीं
गो सितारा सुबह का भी आँख झपकाने लगा

क्यूँकर उस आईना-रू से 'मीर' मलिए बे-हिजाब
वो तो अपने अक्स से भी देखो शरमाने लगा

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari