meer dariya hai sune sher zabaani us ki
allah allah re tabeeyat ki rawaani us ki
khaatir-e-baadiya se dair mein jaavegi kahi
khaak maanind bagule ke udaani us ki
ek hai ahad mein apne vo paraganda-mizaaj
apni aankhon mein na aaya koi saani us ki
meh to bauchaar ka dekha hai barsate tum ne
isee andaaz se thi ashk-fishaani us ki
baat ki tarz ko dekho to koi jaadu tha
par mili khaak mein kya seher-bayaani us ki
kar ke ta'aweez rakhen us ko bahut bhaati hai
vo nazar paanv pe vo baat divaani us ki
us ka vo izz tumhaara ye ghuroor-e-khoobi
minnaten un ne bahut keen p na maani us ki
kuchh likha hai tujhe har berg pe ai rask-e-bahaar
ruqaa waaren hain ye oraak-e-khizaani us ki
sarguzisht apni kis andoh se shab kehta tha
so gaye tum na sooni aah kahaani us ki
marsiye dil ke kai kah ke diye logon ko
shahr-e-dilli mein hai sab paas nishaani us ki
miyaan se nikli hi padti thi tumhaari talwaar
kya evaz chaah ka tha khasmi-e-jaani us ki
aable ki si tarah thes lagi phoot bahe
dardmandi mein gai saari jawaani us ki
ab gaye us ke juz afsos nahin kuchh haasil
haif sad haif ki kuchh qadr na jaani us ki
मीर' दरिया है सुने शेर ज़बानी उस की
अल्लाह अल्लाह रे तबीअत की रवानी उस की
ख़ातिर-ए-बादिया से दैर में जावेगी कहीं
ख़ाक मानिंद बगूले के उड़ानी उस की
एक है अहद में अपने वो परागंदा-मिज़ाज
अपनी आँखों में न आया कोई सानी उस की
मेंह तो बौछार का देखा है बरसते तुम ने
इसी अंदाज़ से थी अश्क-फ़िशानी उस की
बात की तर्ज़ को देखो तो कोई जादू था
पर मिली ख़ाक में क्या सेहर-बयानी उस की
कर के ता'वीज़ रखें उस को बहुत भाती है
वो नज़र पाँव पे वो बात दिवानी उस की
उस का वो इज्ज़ तुम्हारा ये ग़ुरूर-ए-ख़ूबी
मिन्नतें उन ने बहुत कीं प न मानी उस की
कुछ लिखा है तुझे हर बर्ग पे ऐ रश्क-ए-बहार
रुक़आ वारें हैं ये औराक़-ए-ख़िज़ानी उस की
सरगुज़िश्त अपनी किस अंदोह से शब कहता था
सो गए तुम न सुनी आह कहानी उस की
मरसिए दिल के कई कह के दिए लोगों को
शहर-ए-दिल्ली में है सब पास निशानी उस की
मियान से निकली ही पड़ती थी तुम्हारी तलवार
क्या एवज़ चाह का था ख़स्मी-ए-जानी उस की
आबले की सी तरह ठेस लगी फूट बहे
दर्दमंदी में गई सारी जवानी उस की
अब गए उस के जुज़ अफ़्सोस नहीं कुछ हासिल
हैफ़ सद हैफ़ कि कुछ क़द्र न जानी उस की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Wada Shayari Shayari