mere sang-e-mazaar par farhaad | मेरे संग-ए-मज़ार पर फ़रहाद

  - Meer Taqi Meer

mere sang-e-mazaar par farhaad
rakh ke tesha kahe hai ya ustaad

ham se bin marg kya juda ho malaal
jaan ke saath hai dil-e-naashaad

moond aankhen safar adam ka kar
bas hai dekha na aalam-e-eejaad

fikr-e-ta'meer. mein na rah munim
zindagaani ki kuchh bhi hai buniyaad

khaak bhi sar pe daalne ko nahin
kis kharaabe mein ham hue aabaad

sunte ho tuk suno ki phir mujh baad
na sunoge ye naala o fariyaad

lagti hai kuchh sumoom si to naseem
khaak kis diljale ki barbaad

bhoola jaaye hai gham-e-butaan mein jee
garz aata hai phir khuda hi yaad

tere qaid-e-qafas ka kya shikwa
naale apne se apne se fariyaad

har taraf hain aseer ham-aawaz
baagh hai ghar tira to ai sayyaad

ham ko marna ye hai ki kab hon kahi
apni qaid-e-hayaat se azaad

aisa vo shokh hai ki uthte subh
jaana so jaaye us ki hai mo'taad

nahin soorat-pazeer naqsh us ka
yun hi tasdeeq kheeche hai bahzaad

khoob hai khaak se buzurgon ki
chaahna to mere tai imdaad

par muravvat kahaan ki hai ai meer
tu hi mujh diljale ko kar irshaad

na-muraadi ho jis pe parwaana
vo jalata phire charaagh-e-muraad

मेरे संग-ए-मज़ार पर फ़रहाद
रख के तेशा कहे है या उस्ताद

हम से बिन मर्ग क्या जुदा हो मलाल
जान के साथ है दिल-ए-नाशाद

मूँद आँखें सफ़र अदम का कर
बस है देखा न आलम-ए-ईजाद

फ़िक्र-ए-ता'मीर' में न रह मुनइम
ज़िंदगानी की कुछ भी है बुनियाद

ख़ाक भी सर पे डालने को नहीं
किस ख़राबे में हम हुए आबाद

सुनते हो टुक सुनो कि फिर मुझ बाद
न सुनोगे ये नाला ओ फ़रियाद

लगती है कुछ सुमूम सी तो नसीम
ख़ाक किस दिलजले की बर्बाद

भूला जाए है ग़म-ए-बुताँ में जी
ग़रज़ आता है फिर ख़ुदा ही याद

तेरे क़ैद-ए-क़फ़स का क्या शिकवा
नाले अपने से अपने से फ़रियाद

हर तरफ़ हैं असीर हम-आवाज़
बाग़ है घर तिरा तो ऐ सय्याद

हम को मरना ये है कि कब हों कहीं
अपनी क़ैद-ए-हयात से आज़ाद

ऐसा वो शोख़ है कि उठते सुब्ह
जाना सो जाए उस की है मो'ताद

नहीं सूरत-पज़ीर नक़्श उस का
यूँ ही तस्दीक़ खींचे है बहज़ाद

ख़ूब है ख़ाक से बुज़ुर्गों की
चाहना तो मिरे तईं इमदाद

पर मुरव्वत कहाँ की है ऐ 'मीर'
तू ही मुझ दिलजले को कर इरशाद

ना-मुरादी हो जिस पे परवाना
वो जलाता फिरे चराग़-ए-मुराद

  - Meer Taqi Meer

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari