galat hai ishq mein ai bul-hawas andesha raahat ka | ग़लत है इश्क़ में ऐ बुल-हवस अंदेशा राहत का

  - Meer Taqi Meer

galat hai ishq mein ai bul-hawas andesha raahat ka
rivaaj is mulk mein hai dard-o-daag-o-ranj-o-kulfat ka

zameen ik safha-e-tasveer be-hoshaan se maana hai
ye majlis jab se hai achha nahin kuchh rang sohbat ka

jahaan jalwe se us mehboob ke yaksar labaalab hai
nazar paida kar awwal phir tamasha dekh qudrat ka

hanooz aawaara-e-laila hai jaan-e-rafta majnoon ki
mooe par bhi raha hota nahin waabasta ulfat ka

hareef-e-be-jigar hai sabr warna kal ki sohbat mein
niyaaz-o-naaz ka jhagda giro tha ek jurat ka

nigaah-e-yaas bhi is said-e-afgan par ghaneemat hai
nihaayat tang hai ai said-e-bismil waqt furqat ka

kharaabi dil ki is had hai ki ye samjha nahin jaata
ki aabaadi bhi yaa thi ya ki veeraana tha muddat ka

nigah-e-mast ne us ki lutaai khaanka saari
pada hai barham ab tak kaarkhaana zohd-o-taa'at ka

qadam tak dekh kar rakh meer sar dil se nikalega
palak se shokh-tar kaanta hai sehra-e-mohabbat ka

ग़लत है इश्क़ में ऐ बुल-हवस अंदेशा राहत का
रिवाज इस मुल्क में है दर्द-ओ-दाग़-ओ-रंज-ओ-कुलफ़त का

ज़मीं इक सफ़्हा-ए-तस्वीर बे-होशाँ से माना है
ये मज्लिस जब से है अच्छा नहीं कुछ रंग सोहबत का

जहाँ जल्वे से उस महबूब के यकसर लबालब है
नज़र पैदा कर अव्वल फिर तमाशा देख क़ुदरत का

हनूज़ आवारा-ए-लैला है जान-ए-रफ़्ता मजनूँ की
मूए पर भी रहा होता नहीं वाबस्ता उल्फ़त का

हरीफ़-ए-बे-जिगर है सब्र वर्ना कल की सोहबत में
नियाज़-ओ-नाज़ का झगड़ा गिरो था एक जुरअत का

निगाह-ए-यास भी इस सैद-ए-अफ़्गन पर ग़नीमत है
निहायत तंग है ऐ सैद-ए-बिस्मिल वक़्त फ़ुर्सत का

ख़राबी दिल की इस हद है कि ये समझा नहीं जाता
कि आबादी भी याँ थी या कि वीराना था मुद्दत का

निगाह-ए-मस्त ने उस की लुटाई ख़ानका सारी
पड़ा है बरहम अब तक कारख़ाना ज़ोहद-ओ-ताअत का

क़दम टक देख कर रख 'मीर' सर दिल से निकालेगा
पलक से शोख़-तर काँटा है सहरा-ए-मोहब्बत का

  - Meer Taqi Meer

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari