kal meer ne kya kiya ki may ke liye betaabi
aakhir ko giro rakha sajjaada-e-mehraabi
jaaga hai kahi vo bhi shab murtakib-e-may ho
ye baat sujhaati hai un aankhon ki be-khwabi
kya shehar mein gunjaish mujh be-sar-o-pa ko ho
ab badh gaye hain mere asbaab-e-kam-asbaabi
din-raat meri chaati jaltee hai mohabbat mein
kya aur na thi jaaga ye aag jo yaa daabi
so malak fira lekin paai na wafa ik ja
jee kha gai hai mera is jins ki naayaabi
khun basta na kyun palkein har lahza raheen meri
jaate nahin aankhon se lab-e-yaar ke unnaabi
jungle hi hare tanhaa rone se nahin mere
kohon ki kamar tak bhi ja pahunchee hai sairaabi
the maah-vishaan kal jo un kothon pe jalwe mein
hai khaak se aaj un ki har sahan mein mahtaabi
kal meer jo yaa aaya taur is ka bahut bhaaya
vo khushk-labi tis par jaama gale mein aabi
कल 'मीर' ने क्या किया की मय के लिए बेताबी
आख़िर को गिरो रखा सज्जादा-ए-मेहराबी
जागा है कहीं वो भी शब मुर्तकिब-ए-मय हो
ये बात सुझाती है उन आँखों की बे-ख़्वाबी
क्या शहर में गुंजाइश मुझ बे-सर-ओ-पा को हो
अब बढ़ गए हैं मेरे अस्बाब-ए-कम-असबाबी
दिन-रात मिरी छाती जलती है मोहब्बत में
क्या और न थी जागा ये आग जो याँ दाबी
सो मलक फिरा लेकिन पाई न वफ़ा इक जा
जी खा गई है मेरा इस जिंस की नायाबी
ख़ूँ बस्ता न क्यूँ पलकें हर लहज़ा रहीं मेरी
जाते नहीं आँखों से लब-ए-यार के उन्नाबी
जंगल ही हरे तन्हा रोने से नहीं मेरे
कोहों की कमर तक भी जा पहुँची है सैराबी
थे माह-विशाँ कल जो उन कोठों पे जल्वे में
है ख़ाक से आज उन की हर सहन में महताबी
कल 'मीर' जो याँ आया तौर इस का बहुत भाया
वो ख़ुश्क-लबी तिस पर जामा गले में आबी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Valentine Shayari Shayari