umr bhar ham rahe sharaabi se
dil-e-pur-khoon ki ik gulaabi se
jee dhaa jaaye hai sehar se aah
raat guzregi kis kharaabi se
khilna kam kam kali ne seekha hai
us ki aankhon ki neem-khwabi se
burqa uthte hi chaand sa nikla
daagh hoon us ki be-hijaabi se
kaam the ishq mein bahut par meer
ham hi faarigh hue shitaabi se
उम्र भर हम रहे शराबी से
दिल-ए-पुर-ख़ूँ की इक गुलाबी से
जी ढहा जाए है सहर से आह
रात गुज़रेगी किस ख़राबी से
खिलना कम कम कली ने सीखा है
उस की आँखों की नीम-ख़्वाबी से
बुर्क़ा उठते ही चाँद सा निकला
दाग़ हूँ उस की बे-हिजाबी से
काम थे इश्क़ में बहुत पर 'मीर'
हम ही फ़ारिग़ हुए शिताबी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer
our suggestion based on Meer Taqi Meer
As you were reading Valentine Shayari Shayari