na pooch khwaab zulekha ne kya khayal liya | न पूछ ख़्वाब ज़ुलेख़ा ने क्या ख़याल लिया - Meer Taqi Meer

na pooch khwaab zulekha ne kya khayal liya
ki kaarwaan ka kanaan ke jee nikaal liya

rah-e-talab mein gire hote sar ke bal hum bhi
shikasta-paai ne apni humein sanbhaal liya

rahoon hoon barson se hum dosh par kabhu un ne
gale main haath mera pyaar se na daal liya

butaan ki meer sitam vo nigaah hai jis ne
khuda ke vaaste bhi khalk ka vabaal liya

न पूछ ख़्वाब ज़ुलेख़ा ने क्या ख़याल लिया
कि कारवाँ का कनआँ' के जी निकाल लिया

रह-ए-तलब में गिरे होते सर के बल हम भी
शिकस्ता-पाई ने अपनी हमें सँभाल लिया

रहूँ हूँ बरसों से हम दोश पर कभू उन ने
गले मैं हाथ मिरा प्यार से न डाल लिया

बुताँ की 'मीर' सितम वो निगाह है जिस ने
ख़ुदा के वास्ते भी ख़ल्क़ का वबाल लिया

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari