jo is shor se meer rota rahega | जो इस शोर से 'मीर' रोता रहेगा

  - Meer Taqi Meer

jo is shor se meer rota rahega
to ham-saaya kahe ko sota rahega

main vo rone waala jahaan se chala hoon
jise abr har saal rota rahega

mujhe kaam rone se akshar hai naaseh
tu kab tak mere munh ko dhota rahega

bas ai giryaa aankhen tiri kya nahin hain
kahaan tak jahaan ko dubota rahega

mere dil ne vo naala paida kiya hai
jars ke bhi jo hosh khota rahega

tu yun gaaliyaan gair ko shauq se de
hamein kuchh kahega to hota rahega

bas ai meer mizgaan se ponch aansuon ko
tu kab tak ye moti piroota rahega

जो इस शोर से 'मीर' रोता रहेगा
तो हम-साया काहे को सोता रहेगा

मैं वो रोने वाला जहाँ से चला हूँ
जिसे अब्र हर साल रोता रहेगा

मुझे काम रोने से अक्सर है नासेह
तू कब तक मिरे मुँह को धोता रहेगा

बस ऐ गिर्या आँखें तिरी क्या नहीं हैं
कहाँ तक जहाँ को डुबोता रहेगा

मिरे दिल ने वो नाला पैदा किया है
जरस के भी जो होश खोता रहेगा

तू यूँ गालियाँ ग़ैर को शौक़ से दे
हमें कुछ कहेगा तो होता रहेगा

बस ऐ 'मीर' मिज़्गाँ से पोंछ आँसुओं को
तू कब तक ये मोती पिरोता रहेगा

  - Meer Taqi Meer

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari