jafaaen dekh liyaan bewafaiyaan dekheen | जफ़ाएँ देख लियाँ बेवफ़ाइयाँ देखीं

  - Meer Taqi Meer

jafaaen dekh liyaan bewafaiyaan dekheen
bhala hua ki tiri sab buraiyaan dekheen

tiri gali se sada ai kashanda-e-aalam
hazaaron aati hui chaarpaaiyaan dekheen

gaya nazar se jo vo garm tifl-e-aatish-baaz.
ham apne chehre pe udti hawaiyaan dekheen

tire visaal ke ham shauq mein hon aawaara
aziz dost sabhon ki judaaiyaan dekheen

hamesha maail-e-aaina hi tujhe paaya
jo dekheen ham ne yahi khud-numaaiyaan dekheen

shahaan ki kohl-e-jawaahar thi khaak-e-pa jin ki
unhin ki aankhon mein firte salaaiyaan dekheen

bani na apni to us jang-joo se hargiz meer
ladaaiń jab se ham aankhen ladaiyaan dekheen

जफ़ाएँ देख लियाँ बेवफ़ाइयाँ देखीं
भला हुआ कि तिरी सब बुराइयाँ देखीं

तिरी गली से सदा ऐ कशंदा-ए-आलम
हज़ारों आती हुई चारपाइयाँ देखीं

गया नज़र से जो वो गर्म तिफ़्ल-ए-आतिश-बाज़
हम अपने चेहरे पे उड़ती हवाइयाँ देखीं

तिरे विसाल के हम शौक़ में हों आवारा
अज़ीज़ दोस्त सभों की जुदाइयाँ देखीं

हमेशा माइल-ए-आईना ही तुझे पाया
जो देखीं हम ने यही ख़ुद-नुमाईयाँ देखीं

शहाँ कि कोहल-ए-जवाहर थी ख़ाक-ए-पा जिन की
उन्हीं की आँखों में फिरते सलाइयाँ देखीं

बनी न अपनी तो उस जंग-जू से हरगिज़ 'मीर'
लड़ाईं जब से हम आँखें लड़ाइयाँ देखीं

  - Meer Taqi Meer

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari