main ne jo be-kasaana majlis mein jaan khoi | मैं ने जो बे-कसाना मज्लिस में जान खोई

  - Meer Taqi Meer

main ne jo be-kasaana majlis mein jaan khoi
sar par mere khadi ho shab sham'a zor ravi

aati hai sham'a shab ko aage tire ye kah kar
munh ki gai jo loii to kya karega koi

be-taaqati se aage kuchh poochta bhi tha so
rone ne har ghadi ke vo baat hi duboi

bulbul ki bekli ne shab be-dimaagh rakha
sone diya na ham ko zalim na aap soi

us zulm pesha ki ye rasm-e-qadeem hai gee
ghairoon pe meherbaani yaaron se keena-jooi

naubat jo ham se gahe aati hai guftugoo ki
munh mein zabaan nahin hai is bad-zabaan ke goii

us mah ke jalwe se kuchh ta meer yaad deve
ab ke gharo mein ham ne sab chaandni hai boi

मैं ने जो बे-कसाना मज्लिस में जान खोई
सर पर मिरे खड़ी हो शब शम्अ' ज़ोर रवी

आती है शम्अ' शब को आगे तिरे ये कह कर
मुँह की गई जो लोई तो क्या करेगा कोई

बे-ताक़ती से आगे कुछ पूछता भी था सो
रोने ने हर घड़ी के वो बात ही डुबोई

बुलबुल की बेकली ने शब बे-दिमाग़ रखा
सोने दिया न हम को ज़ालिम न आप सोई

उस ज़ुल्म पेशा की ये रस्म-ए-क़दीम है गी
ग़ैरों पे मेहरबानी यारों से कीना-जूई

नौबत जो हम से गाहे आती है गुफ़्तुगू की
मुँह में ज़बाँ नहीं है इस बद-ज़बाँ के गोई

उस मह के जल्वे से कुछ ता 'मीर' याद देवे
अब के घरों में हम ने सब चाँदनी है बोई

  - Meer Taqi Meer

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari