dil ke maamure ki mat kar fikr furqat chahiye | दिल के मामूरे की मत कर फ़िक्र फ़ुर्सत चाहिए

  - Meer Taqi Meer

dil ke maamure ki mat kar fikr furqat chahiye
aise veeraane ke ab basne ko muddat chahiye

ishq-o-may-khwaari nibhe hai koi darveshi ke beech
is tarah ke kharj-e-la-haasil ko daulat chahiye

aqibat farhaad mar kar kaam apna kar gaya
aadmi hove kisi peshe mein jurat chahiye

ho taraf mujh pahalwaan shayar ka kab aajiz sukhun
saamne hone ko sahab fan ke qudrat chahiye

ishq mein wasl-o-judai se nahin kuchh guftugoo
qurb-o-baad us ja barabar hai mohabbat chahiye

nazuki ko ishq mein kya dakhl hai ai bul-hawas
yaa saubat kheenchne ko jee mein taqat chahiye

tang mat ho ibtida-e-aashiqi mein is qadar
khairiyat hai meer saahib-e-dil salaamat chahiye

दिल के मामूरे की मत कर फ़िक्र फ़ुर्सत चाहिए
ऐसे वीराने के अब बसने को मुद्दत चाहिए

इशक़-ओ-मय-ख़्वारी निभे है कोई दरवेशी के बीच
इस तरह के ख़र्ज-ए-ला-हासिल को दौलत चाहिए

आक़िबत फ़रहाद मर कर काम अपना कर गया
आदमी होवे किसी पेशे में जुरअत चाहिए

हो तरफ़ मुझ पहलवाँ शायर का कब आजिज़ सुख़न
सामने होने को साहब फ़न के क़ुदरत चाहिए

इश्क़ में वस्ल-ओ-जुदाई से नहीं कुछ गुफ़्तुगू
क़ुरब-ओ-बाद उस जा बराबर है मोहब्बत चाहिए

नाज़ुकी को इश्क़ में क्या दख़्ल है ऐ बुल-हवस
याँ सऊबत खींचने को जी में ताक़त चाहिए

तंग मत हो इब्तिदा-ए-आशिक़ी में इस क़दर
ख़ैरियत है 'मीर' साहिब-ए-दिल सलामत चाहिए

  - Meer Taqi Meer

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari