lab tire laal-e-naab hain dono | लब तिरे लाल-ए-नाब हैं दोनों - Meer Taqi Meer

lab tire laal-e-naab hain dono
par tamaami i'taab hain dono

rona aankhon ka roiyie kab tak
footne hi ke baab hain dono

hai takalluf naqaab ve rukhsaar
kya chupen aftaab hain dono

tan ke maamure mein yahi dil-o-chashm
ghar the do so kharab hain dono

kuch na poocho ki aatish-e-gham se
jigar-o-dil kebab hain dono

sau jagah us ki aankhen padti hain
jaise mast-e-sharaab hain dono

paanv mein vo nasha talab ka nahin
ab to sarmast-e-khwaab hain dono

ek sab aag ek sab paani
deeda-o-dil azaab hain dono

bahs kahe ko laal-o-marjaan se
us ke lab hi jawaab hain dono

aage dariya the deeda-e-tar meer
ab jo dekho saraab hain dono

लब तिरे लाल-ए-नाब हैं दोनों
पर तमामी इ'ताब हैं दोनों

रोना आँखों का रोइए कब तक
फूटने ही के बाब हैं दोनों

है तकल्लुफ़ नक़ाब वे रुख़्सार
क्या छुपें आफ़्ताब हैं दोनों

तन के मामूरे में यही दिल-ओ-चश्म
घर थे दो सो ख़राब हैं दोनों

कुछ न पूछो कि आतिश-ए-ग़म से
जिगर-ओ-दिल कबाब हैं दोनों

सौ जगह उस की आँखें पड़ती हैं
जैसे मस्त-ए-शराब हैं दोनों

पाँव में वो नशा तलब का नहीं
अब तो सरमस्त-ए-ख़्वाब हैं दोनों

एक सब आग एक सब पानी
दीदा-ओ-दिल अज़ाब हैं दोनों

बहस काहे को लाल-ओ-मर्जां से
उस के लब ही जवाब हैं दोनों

आगे दरिया थे दीदा-ए-तर 'मीर'
अब जो देखो सराब हैं दोनों

- Meer Taqi Meer
0 Likes

Bahana Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Bahana Shayari Shayari