nayi tarzon se maykhaane mein rang-e-may jhalakta tha | नई तर्ज़ों से मयख़ाने में रंग-ए-मय झलकता था

  - Meer Taqi Meer

nayi tarzon se maykhaane mein rang-e-may jhalakta tha
gulaabi roti thi waan jaam hans hans kar chhalakta tha

tire us khaak udaane ki dhamak se ai mari vehshat
kaleja reg-e-sehra ka bhi das das gaz thilakta tha

gai tasbeeh us ki naz'a mein kab meer ke dil se
usi ke naam ki sumran thi jab munkka dhalakta tha

नई तर्ज़ों से मयख़ाने में रंग-ए-मय झलकता था
गुलाबी रोती थी वाँ जाम हंस हंस कर छलकता था

तिरे उस ख़ाक उड़ाने की धमक से ऐ मरी वहशत
कलेजा रेग-ए-सहरा का भी दस दस गज़ थिलक्ता था

गई तस्बीह उस की नज़्अ' में कब 'मीर' के दिल से
उसी के नाम की सुमरन थी जब मुनक्का ढलकता था

  - Meer Taqi Meer

Gareebi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Gareebi Shayari Shayari