ulti ho gaeein sab tadbeerein kuchh na dava ne kaam kiya | उल्टी हो गईं सब तदबीरें कुछ न दवा ने काम किया

  - Meer Taqi Meer

ulti ho gaeein sab tadbeerein kuchh na dava ne kaam kiya
dekha is beemaari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya

ahad-e-jawaani ro ro kaata peeri mein leen aankhen moond
ya'ni raat bahut the jaage subh hui aaraam kiya

harf nahin jaan-bakhshi mein us ki khoobi apni qismat ki
ham se jo pehle kah bheja so marne ka paighaam kiya

naahak ham majbooron par ye tohmat hai mukhtaari ki
chahte hain so aap karein hain ham ko abas badnaam kiya

saare rind obaash jahaan ke tujh se sujood mein rahte hain
baanke tedhe tirche teekhe sab ka tujh ko imaam kiya

sarzad ham se be-adbi to vehshat mein bhi kam hi hui
koson us ki or gaye par sajda har har gaam kiya

kis ka kaaba kaisa qibla kaun haram hai kya ehraam
kooche ke us ke baashindon ne sab ko yahin se salaam kiya

shaikh jo hai masjid mein nangaa raat ko tha may-khaane mein
jubba khirka kurta topi masti mein ina'am kiya

kaash ab burqa munh se utha de warna phir kya haasil hai
aankh munde par un ne go deedaar ko apne aam kiya

yaa ke sapeed o siyah mein ham ko dakhl jo hai so itna hai
raat ko ro ro subh kiya ya din ko jun tuun shaam kiya

subh chaman mein us ko kahi takleef-e-hawa le aayi thi
rukh se gul ko mol liya qamat se sarv ghulaam kiya

saad-e-seemeen dono us ke haath mein la kar chhod diye
bhule us ke qaul-o-qasam par haaye khayaal-e-khaam kiya

kaam hue hain saare zaayein har sa'at ki samaajat se
istighna ki chauguni un ne jun jun main ibraam kiya

aise aahu-e-ram-khurda ki vehshat khoni mushkil thi
seher kiya ej'aaz kiya jin logon ne tujh ko raam kiya

meer ke deen-o-mazhab ko ab poochte kya ho un ne to
qashka kheecha dair mein baitha kab ka tark islaam kiya

उल्टी हो गईं सब तदबीरें कुछ न दवा ने काम किया
देखा इस बीमारी-ए-दिल ने आख़िर काम तमाम किया

अहद-ए-जवानी रो रो काटा पीरी में लीं आँखें मूँद
या'नी रात बहुत थे जागे सुब्ह हुई आराम किया

हर्फ़ नहीं जाँ-बख़्शी में उस की ख़ूबी अपनी क़िस्मत की
हम से जो पहले कह भेजा सो मरने का पैग़ाम किया

नाहक़ हम मजबूरों पर ये तोहमत है मुख़्तारी की
चाहते हैं सो आप करें हैं हम को अबस बदनाम किया

सारे रिंद औबाश जहाँ के तुझ से सुजूद में रहते हैं
बाँके टेढ़े तिरछे तीखे सब का तुझ को इमाम किया

सरज़द हम से बे-अदबी तो वहशत में भी कम ही हुई
कोसों उस की ओर गए पर सज्दा हर हर गाम किया

किस का काबा कैसा क़िबला कौन हरम है क्या एहराम
कूचे के उस के बाशिंदों ने सब को यहीं से सलाम किया

शैख़ जो है मस्जिद में नंगा रात को था मय-ख़ाने में
जुब्बा ख़िर्क़ा कुर्ता टोपी मस्ती में इनआ'म किया

काश अब बुर्क़ा मुँह से उठा दे वर्ना फिर क्या हासिल है
आँख मुँदे पर उन ने गो दीदार को अपने आम किया

याँ के सपीद ओ सियह में हम को दख़्ल जो है सो इतना है
रात को रो रो सुब्ह किया या दिन को जूँ तूँ शाम किया

सुब्ह चमन में उस को कहीं तकलीफ़-ए-हवा ले आई थी
रुख़ से गुल को मोल लिया क़ामत से सर्व ग़ुलाम किया

साअद-ए-सीमीं दोनों उस के हाथ में ला कर छोड़ दिए
भूले उस के क़ौल-ओ-क़सम पर हाए ख़याल-ए-ख़ाम किया

काम हुए हैं सारे ज़ाएअ' हर साअ'त की समाजत से
इस्तिग़्ना की चौगुनी उन ने जूँ जूँ मैं इबराम किया

ऐसे आहु-ए-रम-ख़ुर्दा की वहशत खोनी मुश्किल थी
सेहर किया ए'जाज़ किया जिन लोगों ने तुझ को राम किया

'मीर' के दीन-ओ-मज़हब को अब पूछते क्या हो उन ने तो
क़श्क़ा खींचा दैर में बैठा कब का तर्क इस्लाम किया

  - Meer Taqi Meer

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari