teer jo us kamaan se nikla | तीर जो उस कमान से निकला

  - Meer Taqi Meer

teer jo us kamaan se nikla
jigar murgh-e-jaan se nikla

nikli thi teg be-daregh us ki
main hi ik imtihaan se nikla

go kate sar ki soz-e-dil jon sham'a
ab to meri zabaan se nikla

aage ai naala hai khuda ka naav
bas to na aasmaan se nikla

chashm-o-dil se jo nikla hijraan mein
na kabhu bahr-o-kaan se nikla

mar gaya jo aseer-e-qaid-e-hayaat
tangna-e-jahaan se nikla

dil se mat ja ki haif us ka waqt
jo koi us makaan se nikla

us ki sheerin-labi ki hasrat mein
shahad paani ho shaan se nikla

na-muraadi ki rasm meer se hai
taur ye is jawaan se nikla

तीर जो उस कमान से निकला
जिगर मुर्ग़-ए-जान से निकला

निकली थी तेग़ बे-दरेग़ उस की
मैं ही इक इम्तिहान से निकला

गो कटे सर कि सोज़-ए-दिल जों शम्अ'
अब तो मेरी ज़बान से निकला

आगे ऐ नाला है ख़ुदा का नाँव
बस तो न आसमान से निकला

चश्म-ओ-दिल से जो निकला हिज्राँ में
न कभू बहर-ओ-कान से निकला

मर गया जो असीर-ए-क़ैद-ए-हयात
तंगना-ए-जहान से निकला

दिल से मत जा कि हैफ़ उस का वक़्त
जो कोई उस मकान से निकला

उस की शीरीं-लबी की हसरत में
शहद पानी हो शान से निकला

ना-मुरादी की रस्म 'मीर' से है
तौर ये इस जवान से निकला

  - Meer Taqi Meer

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meer Taqi Meer

As you were reading Shayari by Meer Taqi Meer

Similar Writers

our suggestion based on Meer Taqi Meer

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari