apni kahaani apna ik kirdaar ho | अपनी कहानी अपना इक किरदार हो - Ankur Mishra

apni kahaani apna ik kirdaar ho
sar pe mere chhat aur ik deewaar ho

har shaam milne aaye jugnoo aise ab
jaise ki ghar mein koii ik beemaar ho

kar loonga main bhi pyaar is sehra mein par
pehle mera mallaah to taiyaar ho

mujhko yaqeen hai uske har vaade pe par
usse kaho vo pehle peshe-e-yaar ho

kab tak yun heen dhoondhein use deewaanon sa
vo bhi kabhi to aaine ke paar ho

अपनी कहानी अपना इक किरदार हो
सर पे मिरे छत और इक दीवार हो

हर शाम मिलने आए जुगनू ऐसे अब
जैसे कि घर में कोई इक बीमार हो

कर लूँगा मैं भी प्यार इस सहरा में पर
पहले मिरा मल्लाह तो तैयार हो

मुझको यक़ीं है उसके हर वादे पे पर
उससे कहो वो पहले पेश-ए-यार हो

कब तक यूँ हीं ढूँढें उसे दीवानों सा
वो भी कभी तो आइने के पार हो

- Ankur Mishra
0 Likes

More by Ankur Mishra

As you were reading Shayari by Ankur Mishra

Similar Writers

our suggestion based on Ankur Mishra

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari